wo aur main
us ko mire ḳhvāboñ kā rasta
jaane kis ne dikhāyā hai
maiñ jab aadhī raat ko thak kar
apne-āp pe girtā huuñ
vo chupke se aa jaatī hai
sabz sunahre ḳhvāb liye
narm gulābī hāthoñ se mire bāloñ ko suljhātī hai
dhīme suroñ meñ
'faiz' kī nazm sunātī hai
maiñ us ko dekhtā rahtā huuñ
niiñd meñ jāgtā rahtā huuñ
aur vo mere baazū par
sar rakh kar so jaatī hai
sapnoñ meñ kho jaatī hai
vo ḳhvāb meñ hañstī rahtī hai
maiñ jaag ke rotā rahtā huuñ
us ko mere KHwabon ka rasta
jaane kis ne dikhaya hai
main jab aadhi raat ko thak kar
apne-ap pe girta hun
wo chupke se aa jati hai
sabz sunahre KHwab liye
narm gulabi hathon se mere baalon ko suljhati hai
dhime suron mein
'faiz' ki nazm sunati hai
main us ko dekhta rahta hun
nind mein jagta rahta hun
aur wo mere bazu par
sar rakh kar so jati hai
sapnon mein kho jati hai
wo KHwab mein hansti rahti hai
main jag ke rota rahta hun
- Book : Raah-daari mein gunjti nazm (rekhta website) (Pg. 183)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.