wo basti yaad aati hai
vo bastī yaad aatī hai
vo chehre yaad aate haiñ
vahāñ guzrā huā
ik ek pal yuuñ jagmagātā hai
añdherī raat meñ ūñche kalas
mandir ke jaise jhilmilāte haiñ
vahāñ bastī ke us kone meñ
vo chhoTī sī ik masjid
ki jis ke sahn meñ
mire ajdād kī peshāniyoñ ke haiñ nishāñ ab tak
usī ke paas thoḌī duur par bahtī huī gañgā
mujhe ab bhī bulātī hai
vo gañgā jis kā paanī
mirī rag rag meñ bahtā hai
lahū ban kar humaktā hai
mujhe ab bhī bulātā hai
agar maano to vo maañ hai
na maano to faqat bahtā huā paanī hai
dariyā hai
mujhe ab bhī bulātā hai
wo basti yaad aati hai
wo chehre yaad aate hain
wahan guzra hua
ek ek pal yun jagmagata hai
andheri raat mein unche kalas
mandir ke jaise jhilmilate hain
wahan basti ke us kone mein
wo chhoTi si ek masjid
ki jis ke sahn mein
mere ajdad ki peshaniyon ke hain nishan ab tak
usi ke pas thoDi dur par bahti hui ganga
mujhe ab bhi bulati hai
wo ganga jis ka pani
meri rag rag mein bahta hai
lahu ban kar humakta hai
mujhe ab bhi bulata hai
agar mano to wo man hai
na mano to faqat bahta hua pani hai
dariya hai
mujhe ab bhi bulata hai
- Book : Udas Lamhon Ke Mausam (Poetry) (Pg. 39)
- Author : Farooq Bakhshi
- Publication : Modern Publishing House (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.