wo ek aag
ik ajab aag sī hai siine meñ
jaise ho sīna-e-shamshīr kī aag
ik ajab aag sī hai bātin meñ
jaise ho nāla-e-shabgīr kī aag
jaise ik sho.ala-e-javvāla falak ko chhū le
sīna-e-sard meñ mere hai vahī aag abhī
toda-e-barf se jo bujh na sake
ban ke sho.ala ye baḌhī jaatī hai
sū-e-aflāk uThī jaatī hai
us kī zad meñ haiñ
ye ashyā-e-nizām-e-ālam
bas ki ik ḳhauf hai pahlū meñ mire
apnī hī aag se afkār na jal jaa.eñ kahīñ
sochtā huuñ ki duā hī māñgūñ
mere ātish-kada-e-sīna ko
merā rab lutf-o-karam kā koī chashma kar de
ek ajab aag si hai sine mein
jaise ho sina-e-shamshir ki aag
ek ajab aag si hai baatin mein
jaise ho nala-e-shabgir ki aag
jaise ek shoala-e-jawwala falak ko chhu le
sina-e-sard mein mere hai wahi aag abhi
toda-e-barf se jo bujh na sake
ban ke shoala ye baDhi jati hai
su-e-aflak uThi jati hai
us ki zad mein hain
ye ashya-e-nizam-e-alam
bas ki ek KHauf hai pahlu mein mere
apni hi aag se afkar na jal jaen kahin
sochta hun ki dua hi mangun
mere aatish-kada-e-sina ko
mera rab lutf-o-karam ka koi chashma kar de
- Book : maazii ka aainda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.