wo ek laDki
jo diler thī kabhī
jab paidā huī thī
to ro ro kar pair paTak kar
apne asitiv ko darshāne kī koshish karne lagī par
nazar paḌte hī apnī maañ par
maañ kī bechārgī ne use sahamnā sikhāyā
apnī ahmiyat dikhāne kī
jur.at huī tumheñ kaise
zamāne kī nazroñ meñ ye nazar aayā
aur bas
tabhī se payyāñ payyāñ chalne se
schōl se collage tak
collage se manDap tak
bas sahmī huī hai
kabhī jo diler hone kī koshish kartī hai
be-sharm kahlā.ī jaatī hai
logoñ ko chālāk na nazar aa.e is liye
jhaT phir saham jaatī hai
maano sahamnā to us kī niyyat hai
us laḌkī se merā ek ajiib sā rishta hai
us meñ mujhe apnā bachpan dikhtā hai
jo diler thi kabhi
jab paida hui thi
to ro ro kar pair paTak kar
apne asitiw ko darshane ki koshish karne lagi par
nazar paDte hi apni man par
man ki bechaargi ne use sahamna sikhaya
apni ahmiyat dikhane ki
jurat hui tumhein kaise
zamane ki nazron mein ye nazar aaya
aur bas
tabhi se payyan payyan chalne se
school se collage tak
collage se manDap tak
bas sahmi hui hai
kabhi jo diler hone ki koshish karti hai
be-sharm kahlai jati hai
logon ko chaalak na nazar aae is liye
jhaT phir saham jati hai
mano sahamna to us ki niyyat hai
us laDki se mera ek ajib sa rishta hai
us mein mujhe apna bachpan dikhta hai
- Book : Kya Keh Rahi hai Zindagi (Pg. 7)
- Author : Mamta Tiwari
- Publication : Pahle Pahel Parkashan (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.