wo hatif ki zaban mein kalam karne lagi
ek shaam
us ne mujhe apnī panāh-gāh se bāhar nikālā
aur apne sarsabz bāzuoñ ke shahtūt se
kashtī tayyār kī
kashtī jis ne sab se pahle
dūsrā kinārā ījād kiyā thā
āsmān par chāñd
aadhī masāfat tai kar chukā
to vo mujhe apnī na.ī kashtī meñ biThā kar
samundar kī tah meñ utarne lagī
jahāñ us ne
apne ḳhvāb chhupā rakkhe the
aglī shaam
vo mujhe erosion ke ma.abad meñ milī
jis ke chāroñ or
siyāh jañgal kī baaḌh thī
us ma.abad ko saarā rome
ummīd bharī nazroñ se dekhtā thā
maiñ
hātif ke ġhaib-dānoñ ke liye
bhunā havā gosht
ḳhushbū-dār masāle
roġhniyāt
aur
zaitūn kī taaza shāḳh thāme
muqaddas ahāte meñ
panāh-guzīñ havā
use dekh kar
hātif kī ziyārat-gāh kī dīvār
shaq ho ga.ī
ek sham
us ne mujhe apni panah-gah se bahar nikala
aur apne sarsabz bazuon ke shahtut se
kashti tayyar ki
kashti jis ne sab se pahle
dusra kinara ijad kiya tha
aasman par chand
aadhi masafat tai kar chuka
to wo mujhe apni nai kashti mein biTha kar
samundar ki tah mein utarne lagi
jahan us ne
apne KHwab chhupa rakkhe the
agli sham
wo mujhe erosion ke mabad mein mili
jis ke chaaron or
siyah jangal ki baDh thi
us mabad ko sara rome
ummid bhari nazron se dekhta tha
main
hatif ke ghaib-danon ke liye
bhuna hawa gosht
KHushbu-dar masale
roghniyat
aur
zaitun ki taza shaKH thame
muqaddas ahate mein
panah-guzin hawa
use dekh kar
hatif ki ziyarat-gah ki diwar
shaq ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.