wo jo tujhse pahle ka zikr tha
vo jo tujh se pahle kā zikr thā
vo jo tujh se pahle kī raah thī
kahīñ sub.h-e-zāt luTī huī
kahīñ shām-e-ishq bujhī huī
kahīñ dopahar rah-e-māñdagāñ pe tanī huī
kahīñ chāñd pichhle visāl ke
kahīñ mehr sub.h-e-kamāl ke
kahīñ zulf-e-vasl-mizāj par tah-e-gard-e-hijr jamī huī
kahīñ aas thī kahīñ pyaas thī
kahīñ ḳhushk halq meñ tiir thā
kahīñ sā.ebān jalā huā kahīñ bādbān meñ chhed thā
koī raaz thā koī bhed thā
jise muḳhbiroñ jise tājiroñ ne raqam kiyā
to kitāb meñ
mirā hukm mere ḳhilāf thā
merā 'adl merī nazīr thā so haqīr thā
mirā bādshah bhī faqīr thā
ye jo tere hone kā zikr hai
jo tire zuhūr kī baat hai
mirī baat hai
mirā 'ishq hai mirā dard hai
mire harf-o-saut kī zaat hai
mirī raah par mirī chhāñv hai
mire haat meñ mirā haat hai
wo jo tujh se pahle ka zikr tha
wo jo tujh se pahle ki rah thi
kahin subh-e-zat luTi hui
kahin sham-e-ishq bujhi hui
kahin dopahar rah-e-mandagan pe tani hui
kahin chand pichhle visal ke
kahin mehr subh-e-kamal ke
kahin zulf-e-wasl-mizaj par tah-e-gard-e-hijr jami hui
kahin aas thi kahin pyas thi
kahin KHushk halq mein tir tha
kahin saeban jala hua kahin baadban mein chhed tha
koi raaz tha koi bhed tha
jise muKHbiron jise tajiron ne raqam kiya
to kitab mein
mera hukm mere KHilaf tha
mera 'adl meri nazir tha so haqir tha
mera baadshah bhi faqir tha
ye jo tere hone ka zikr hai
jo tere zuhur ki baat hai
meri baat hai
mera 'ishq hai mera dard hai
mere harf-o-saut ki zat hai
meri rah par meri chhanw hai
mere hat mein mera hat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.