wo kahan?
jab bhī dil bhar aayā
āñkheñ chhalkīñ
tanhā.ī ke ik goshe meñ
us ke kāñdhe pe sar rakh kar
us se dil kī bāteñ kah kar
jī kuchh to halkā hotā thā
us kī dil-jūī kī uñglī
merī palkoñ se raḳhshāñ gauhar chun chun kar
apnī palkoñ ke dhāge meñ
piro ke rakh letī thī
ik din shaam ke gahre saa.e
shajar ke zardī maa.il aañsū
qatra qatra bahte bahte
merī āñkhoñ meñ dar aa.e!
bojhal qadmoñ se chal kar
us kī bāñhoñ meñ jaanā chāhā
har goshe meñ us ko DhūñD ke haar chukī huuñ
sab ā.īne toḌ chukī huuñ!
jab bhi dil bhar aaya
aankhen chhalkin
tanhai ke ek goshe mein
us ke kandhe pe sar rakh kar
us se dil ki baaten kah kar
ji kuchh to halka hota tha
us ki dil-jui ki ungli
meri palkon se raKHshan gauhar chun chun kar
apni palkon ke dhage mein
piro ke rakh leti thi
ek din sham ke gahre sae
shajar ke zardi mail aansu
qatra qatra bahte bahte
meri aankhon mein dar aae!
bojhal qadmon se chal kar
us ki banhon mein jaana chaha
har goshe mein us ko DhunD ke haar chuki hun
sab aaine toD chuki hun!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.