wo KHwab madum ho gae hain
azīm-tar thī nazar kī duniyā
hasīn thiiñ aarzū kī rāheñ
alāmat-e-zindagī thī ḳhvāboñ kī kahkashāñ
zād-e-rāh thiiñ hairateñ vafā.eñ
larazte ehsās
kāñptā zehn
fikr-e-fardā kī jot se
muztarib nigāheñ
vo rañg-o-saut-o-sadā ke vaqfe
vo jān-o-tan kī hikāyateñ
qalb-o-rūh ke dil-kushā manāzir
vo sab jo ik umr kī kamā.ī the
kaise ik be-kanār kohre meñ chhup ga.e haiñ
vo ḳhvāb jo hairatoñ vafāoñ ne
dil kī khetī meñ bo.e the
kaise harf mādūm ho ga.e haiñ
azim-tar thi nazar ki duniya
hasin thin aarzu ki rahen
alamat-e-zindagi thi KHwabon ki kahkashan
zad-e-rah thin hairaten wafaen
larazte ehsas
kanpta zehn
fikr-e-farda ki jot se
muztarib nigahen
wo rang-o-saut-o-sada ke waqfe
wo jaan-o-tan ki hikayaten
qalb-o-ruh ke dil-kusha manazir
wo sab jo ek umr ki kamai the
kaise ek be-kanar kohre mein chhup gae hain
wo KHwab jo hairaton wafaon ne
dil ki kheti mein boe the
kaise harf madum ho gae hain
- Book : Aatish Zeer-e-paa (Pg. 77)
- Author : Sajidah Zaidi
- Publication : Sajidah Zaidi, Aligarah (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.