wo kyun aaya
sabā ke sabz ḳhitte se
sunahre mausamoñ kī aarzū le kar
dayār-e-jāñ meñ kyuuñ aayā
vo jis kī aañkh chamkīle dinoñ kā khoj detī hai
jahāñ rañgoñ kī dhun meñ āshnā manzar tahayyur ke
khulī ḳhvāhish ke paanī meñ
ubharte tairte haiñ Duub jaate haiñ
vo mujh se pūchhtā hai saiñkaḌoñ asrār jiine aur marne ke
nazar kā raushnī se rābta kyā hai
lahū ko chāñdnī se kyā ta.alluq hai
fazā kī god meñ dam toḌtī qaus-e-quzah kyuuñ hai
bichhaḌnā yaad rakhnā bhuul jaanā kis ko kahte haiñ
matā-e-hastī-e-be-ḳhānumāñ kyā hai
zamīñ kyā hai zamāñ kyā hai
magar maiñ lafz-gar hoñ kaise samjhā.ūñ
ki mere tajarbe kī vus.atoñ meñ bhī
sabā ke sabz ḳhitte se mire sukh kī qalam-rau tak
tahayyur kā ilāqa hai
jahāñ niile gharoñdoñ se
savāloñ ke parinde mā.il-e-parvāz rahte haiñ
gumāñ kī sar-zamīnoñ ko
sabā ke sabz ḳhitte ko
nazar ke bādbānoñ se
khulī ḳhvāhish ke paanī tak
parinde hairatoñ kī taaza manzil kā ishāra haiñ
parinde āgahī kā isti.āra haiñ
saba ke sabz KHitte se
sunahre mausamon ki aarzu le kar
dayar-e-jaan mein kyun aaya
wo jis ki aankh chamkile dinon ka khoj deti hai
jahan rangon ki dhun mein aashna manzar tahayyur ke
khuli KHwahish ke pani mein
ubharte tairte hain Dub jate hain
wo mujh se puchhta hai sainkaDon asrar jine aur marne ke
nazar ka raushni se rabta kya hai
lahu ko chandni se kya talluq hai
faza ki god mein dam toDti qaus-e-quzah kyun hai
bichhaDna yaad rakhna bhul jaana kis ko kahte hain
mata-e-hasti-e-be-KHanuman kya hai
zamin kya hai zaman kya hai
magar main lafz-gar hon kaise samjhaun
ki mere tajarbe ki wusaton mein bhi
saba ke sabz KHitte se mere sukh ki qalam-rau tak
tahayyur ka ilaqa hai
jahan nile gharondon se
sawalon ke parinde mail-e-parwaz rahte hain
guman ki sar-zaminon ko
saba ke sabz KHitte ko
nazar ke baadbanon se
khuli KHwahish ke pani tak
parinde hairaton ki taza manzil ka ishaara hain
parinde aagahi ka istiara hain
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 491)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.