wo lamha
tamām zindagī par
vo ek lamha bhārī hai
jis lamhe
terī nigāh mujh pe taarī hai
bas meñ hotā
to rok lete us lamhe ko
aaj tak chhā.ī
ham par vo ḳhumārī hai
jannat bhī mil ga.ī to
kah deñge ye ḳhudā se ham
us lamhe ko dohrā de
phir jahannum kī galiyāñ bhī hameñ pyārī haiñ
haañ ḳhud-ġharz haiñ
to itnā shor kyoñ machāte ho
zindagī jiine kī
ab to hamārī baarī hai
na do mashvara ham ko
ki zarā sañbhal kar chalo
ab to har din merī holī
aur har raat dīvālī hai
jaao kisī ranjish ko
ab tum havā de do
ye aag to abhī
aur bhī bhaḌakne vaalī hai
baḌe ahmaq ho
use bhūlne ko kahte ho
jiite jī marne kī
niyyat nahīñ hamārī hai
jo ḳhudā bhī māñgegā
ham se zindagī kā hisāb
us hasīñ lamhe ke sivā
merī saarī kitāb ḳhālī hai
tamam zindagi par
wo ek lamha bhaari hai
jis lamhe
teri nigah mujh pe tari hai
bas mein hota
to rok lete us lamhe ko
aaj tak chhai
hum par wo KHumari hai
jannat bhi mil gai to
kah denge ye KHuda se hum
us lamhe ko dohra de
phir jahannum ki galiyan bhi hamein pyari hain
han KHud-gharz hain
to itna shor kyon machate ho
zindagi jine ki
ab to hamari bari hai
na do mashwara hum ko
ki zara sanbhal kar chalo
ab to har din meri holi
aur har raat diwali hai
jao kisi ranjish ko
ab tum hawa de do
ye aag to abhi
aur bhi bhaDakne wali hai
baDe ahmaq ho
use bhulne ko kahte ho
jite ji marne ki
niyyat nahin hamari hai
jo KHuda bhi mangega
hum se zindagi ka hisab
us hasin lamhe ke siwa
meri sari kitab KHali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.