wo meri pahli mohabbat thi
jis kī āvāz kānoñ meñ sub.h sub.h chiḌiyoñ kī tarah chahaktī thī
jis kī maujūdgī se fazāoñ meñ ḳhushbū sī mahaktī thī
vo merī pahlī mohabbat thī
jis kī āñkheñ dekh muta.assir ho jaate the hiran
naqāb se jis kā chehra aise jhalaktā thā jaise sūraj kī pahlī kiran
jis kā muskurānā thā ki jaise vādiyoñ meñ sahar kā aanā
kisī phuul kī tarah jis pe titliyāñ mañDrāyā kartī thiiñ
vo chāñd se aa.ī thī shāyad raat meñ sitāroñ se bāteñ kiyā kartī thī
jo din kā pahlā paiġhām bhī thī aur raat kā āḳhirī salām bhī
sub.h-bā-ḳhair se le kar shab-ba-ḳhair tak jo merā takiya-kalām thī
vo merī pahlī mohabbat thī
ḳhāmoshī meñ chhupā.e jazbāt jo samajh letī thī
bin zāhir kiye tamām ehsāsāt jo parakh letī thī
mere liye jo har kahānī har ek qisse meñ thī
har ek shā.irī har ek ġhazal ke hisse meñ thī
jo har nazm meñ thī aur har mausīqī meñ bhī
dildār bhī thī jo aur duniyā-dār bhī
shān-o-shaukat kī is duniyā meñ mujh ġharīb kī chāhat kī talabgār thī
vo merī pahlī mohabbat thī
jo maazī thī magar merā mustaqbil na ban paa.ī
mere saath har haal meñ raazī thī magar zindagī meñ shāmil na ho paa.ī
pyaar kī raah meñ jo merī ham-safar thī
jis ke jaane ke baad merī zindagī sifar thī
kuchh rishte ḳhuun ke hote haiñ aur kuchh dil ke
magar ruuh kā rishta sirf jis shaḳhs se thā
vo merī pahlī mohabbat thī
mere taḳhayyul meñ jo ik tasvīr ban ke rah ga.ī
jo dil meñ mere bas ke taqdīr meñ kisī aur kī ho ga.ī
jo hamrāz bhī thī aur merī zindagī kā sab se baḌā raaz bhī
jis ke jaane ke muddatoñ baad bhī us ke vāpas aane kī ek aas thī
vo merī pahlī mohabbat thī
vo merī pahlī mohabbat thī
jis ki aawaz kanon mein subh subh chiDiyon ki tarah chahakti thi
jis ki maujudgi se fazaon mein KHushbu si mahakti thi
wo meri pahli mohabbat thi
jis ki aankhen dekh mutassir ho jate the hiran
naqab se jis ka chehra aise jhalakta tha jaise suraj ki pahli kiran
jis ka muskurana tha ki jaise wadiyon mein sahar ka aana
kisi phul ki tarah jis pe titliyan manDraya karti thin
wo chand se aai thi shayad raat mein sitaron se baaten kiya karti thi
jo din ka pahla paigham bhi thi aur raat ka aaKHiri salam bhi
subh-ba-KHair se le kar shab-ba-KHair tak jo mera takiya-kalam thi
wo meri pahli mohabbat thi
KHamoshi mein chhupae jazbaat jo samajh leti thi
bin zahir kiye tamam ehsasat jo parakh leti thi
mere liye jo har kahani har ek qisse mein thi
har ek shairi har ek ghazal ke hisse mein thi
jo har nazm mein thi aur har mausiqi mein bhi
dildar bhi thi jo aur duniya-dar bhi
shan-o-shaukat ki is duniya mein mujh gharib ki chahat ki talabgar thi
wo meri pahli mohabbat thi
jo mazi thi magar mera mustaqbil na ban pai
mere sath har haal mein raazi thi magar zindagi mein shamil na ho pai
pyar ki rah mein jo meri ham-safar thi
jis ke jaane ke baad meri zindagi sifar thi
kuchh rishte KHun ke hote hain aur kuchh dil ke
magar ruh ka rishta sirf jis shaKHs se tha
wo meri pahli mohabbat thi
mere taKHayyul mein jo ek taswir ban ke rah gai
jo dil mein mere bas ke taqdir mein kisi aur ki ho gai
jo hamraaz bhi thi aur meri zindagi ka sab se baDa raaz bhi
jis ke jaane ke muddaton baad bhi us ke wapas aane ki ek aas thi
wo meri pahli mohabbat thi
wo meri pahli mohabbat thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.