wo mujhse kahte hain muskura do
vo mujh se kahte haiñ muskurā do
huā hai jo kuchh use bhalā do
maiñ un se kah duuñ
ki ab ye mumkin nahīñ rahā hai
vo rañj-e-hastī ki zahr ban kar
mire lahū meñ samā chukā hai
mire tasavvur meñ bas chukā hai
vo mujh se kahte haiñ muskurā do
huā hai jo kuchh use bhulā do
maiñ rāt-din kī udhaḌpan meñ
vo kirchiyāñ bhī sameT lūñgī
jo merī āñkhoñ meñ chubh rahī haiñ
jo merī sāñsoñ ko Das rahī haiñ
mujhe yaqīñ hai ki kāñch kā ye hasīn dhokā
fareb kā be-karāñ sarāpā
zarā sī aahaT se gir paḌegā
vo mujh se kahte haiñ muskurā do
huā hai jo kuchh use bhulā do
suno
ye mumkin nahīñ rubā ab
ki merā dil merā ḳhush-nazar dil
koī tasallī nahīñ sunegā
koī havāla nahīñ sunegā
maiñ jāntī huuñ
ye merā vahshī udaas dil hai
jo tujh se mujh se alag thalag hai
use miTānā nahīñ hai mumkin
use to jañgal kī aas hai ab
talāsh yaado kī baas hai ab
mujhe to hairat sī ho rahī hai
vo mujh se kahte haiñ muskurā do
wo mujh se kahte hain muskura do
hua hai jo kuchh use bhala do
main un se kah dun
ki ab ye mumkin nahin raha hai
wo ranj-e-hasti ki zahr ban kar
mere lahu mein sama chuka hai
mere tasawwur mein bas chuka hai
wo mujh se kahte hain muskura do
hua hai jo kuchh use bhula do
main raat-din ki udhaDpan mein
wo kirchiyan bhi sameT lungi
jo meri aankhon mein chubh rahi hain
jo meri sanson ko Das rahi hain
mujhe yaqin hai ki kanch ka ye hasin dhoka
fareb ka be-karan sarapa
zara si aahaT se gir paDega
wo mujh se kahte hain muskura do
hua hai jo kuchh use bhula do
suno
ye mumkin nahin ruba ab
ki mera dil mera KHush-nazar dil
koi tasalli nahin sunega
koi hawala nahin sunega
main jaanti hun
ye mera wahshi udas dil hai
jo tujh se mujh se alag thalag hai
use miTana nahin hai mumkin
use to jangal ki aas hai ab
talash yaado ki bas hai ab
mujhe to hairat si ho rahi hai
wo mujh se kahte hain muskura do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.