wo rasta adam-abaad ki taraf jata tha
sātvīñ baar
askandariya ke niile sāhil par
us ne apnī diid kā sunahrā sikka
mere kānoñ ke kashkol meñ
daan kiyā
askandariya
jise ek bahādur jañg-jū ne
ābād kiyā thā
jo
hañste baste shahroñ ke naam
barbādī ke sandese likhtā thā
us kā nasīb
būḌhe mallāh kī bosīda kashtī se bañdhā
hachkole le rahā thā
duniyā kā nasīb likhne vaale
us ke sāñvle hāthoñ meñ
shumālī misr ke sarsabz bāġhoñ ke
avvalīn phal the
jise vo
boTo shahar ke
sab se qadīm dārul-istiḳhāra ko
bheñT karne aa.ī thī
satwin bar
askandariya ke nile sahil par
us ne apni did ka sunahra sikka
mere kanon ke kashkol mein
dan kiya
askandariya
jise ek bahadur jang-ju ne
aabaad kiya tha
jo
hanste baste shahron ke nam
barbaadi ke sandese likhta tha
us ka nasib
buDhe mallah ki bosida kashti se bandha
hachkole le raha tha
duniya ka nasib likhne wale
us ke sanwle hathon mein
shumali misr ke sarsabz baghon ke
awwalin phal the
jise wo
boTo shahar ke
sab se qadim darul-istiKHara ko
bhenT karne aai thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.