wote dijiye
aa.e haiñ ham bhā.iyo muzhda sunāne ke liye
aap ke hālāt ko behtar banāne ke liye
aap pūchheñge kahāñ ġhā.eb rahe ham pāñch saal
kyā batā.eñ aap kī furqat meñ thā kyā apnā haal
kyā batā.eñ kis qadar TuuTe pahāḌ ālām ke
aah ham maare hue haiñ gardish-e-ayyām ke
aap hī ke ġham meñ ghulte ghulte moTe ham hue
pāñch barsoñ meñ ye Dheroñ ġham na lekin kam hue
is liye aa.e haiñ phir tigḌam laḌāne ke liye
sabz baaġh ik baar phir sab ko dikhāne ke liye
aa gayā phir ik nayā daur-e-election aa gayā
dostoñ kā dost aur dushman kā dushman aa gayā
vote de kar phir banā.eñ aap ham ko kāmyāb
taaki kāñTe aap ko deñ aur ḳhud chun leñ gulāb
vaqt ke maare hue kursī se sarkā.e hue
aap ke dar par haiñ aa.e haath phailā.e hue
ham ne maanā tā-kamar Duube hue kīchaḌ meñ haiñ
bheḌiyā samjheñ na ham ko aap ke revaḌ meñ haiñ
shar pe ab maa.il nahīñ haiñ aap ke ġham-ḳhvār haiñ
qaum kī kashtī kī ik TuuTī huī patvār haiñ
daa.eñ baa.eñ chamche apne aage pīchhe car hai
de diyā gar vote to phir apnā beḌā paar hai
vote diije vote diije vote hī darkār hai
tanz kartā hai kare 'asrār' nā-hanjār hai
aae hain hum bhaiyo muzhda sunane ke liye
aap ke haalat ko behtar banane ke liye
aap puchhenge kahan ghaeb rahe hum panch sal
kya bataen aap ki furqat mein tha kya apna haal
kya bataen kis qadar TuTe pahaD aalam ke
aah hum mare hue hain gardish-e-ayyam ke
aap hi ke gham mein ghulte ghulte moTe hum hue
panch barson mein ye Dheron gham na lekin kam hue
is liye aae hain phir tigDam laDane ke liye
sabz bagh ek bar phir sab ko dikhane ke liye
aa gaya phir ek naya daur-e-election aa gaya
doston ka dost aur dushman ka dushman aa gaya
wote de kar phir banaen aap hum ko kaamyab
taki kanTe aap ko den aur KHud chun len gulab
waqt ke mare hue kursi se sarkae hue
aap ke dar par hain aae hath phailae hue
hum ne mana ta-kamar Dube hue kichaD mein hain
bheDiya samjhen na hum ko aap ke rewaD mein hain
shar pe ab mail nahin hain aap ke gham-KHwar hain
qaum ki kashti ki ek TuTi hui patwar hain
daen baen chamche apne aage pichhe car hai
de diya gar wote to phir apna beDa par hai
wote dije wote dije wote hi darkar hai
tanz karta hai kare 'asrar' na-hanjar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.