wrong concept
tumhāre aane pe
shādiyāne baje the jo
vo nahīñ rahe
faqat vahī kiyā
jo shādiyāne bajā rahe the
vo uñgliyāñ aur hoñT bhī ab
zamīñ ke andar dabe hue haiñ
jo haath
maare ḳhushī ke
tum ko uThā ke
jhūlā jhulā rahe the
vo aaj bārish ke thappaḌoñ se
phaTī huī qabr meñ paḌe haiñ
ye aaj jo kuchh bhī ho rahā hai
ye hai nahīñ ho chukā samajh lo
ye vartamān haal ya.anī present
is kā concept hī ġhalat hai
haqīqatan sirf do hī bāteñ qubūl hoñgī
koī bhī shai yā to ho chukī hai
yā aage hogī
aur is kā lubb-e-lubāb ye hai
jo aaya hai us ko jaanā hogā
chalo
maiñ chaltā huuñ
allāh hāfiz
tumhaare aane pe
shadiyane baje the jo
wo nahin rahe
faqat wahi kiya
jo shadiyane baja rahe the
wo ungliyan aur honT bhi ab
zamin ke andar dabe hue hain
jo hath
mare KHushi ke
tum ko uTha ke
jhula jhula rahe the
wo aaj barish ke thappaDon se
phaTi hui qabr mein paDe hain
ye aaj jo kuchh bhi ho raha hai
ye hai nahin ho chuka samajh lo
ye wartaman haal yani present
is ka concept hi ghalat hai
haqiqatan sirf do hi baaten qubul hongi
koi bhi shai ya to ho chuki hai
ya aage hogi
aur is ka lubb-e-lubab ye hai
jo aaya hai us ko jaana hoga
chalo
main chalta hun
allah hafiz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.