yaad
shab kī chādar oḌh kar aa.ī hai
lamhoñ kī mahaktī dhuul meñ lipTī huī
merī jānib dhīre dhīre baḌh rahī hai
aur maiñ apne bistar-e-ḳhāshāk-o-ḳhas par
nīm-vā āñkhoñ se dhundlī raushnī ko
der se taktā huā
dam-ba-ḳhud huuñ jhilmilātī soch meñ khoyā huā
vo qarīb aatī hai
merī saañs meñ sho.ale jagātī hai
mirī dhaḌkan kī lai ko kar rahī hai tez-tar
aur mujhe bedār-tar hoshyār-tar
haath jab baḌhte haiñ chhūne ke liye
aur ho jaatī haiñ gahrī chādar-e-shab kī taheñ
aur chhā jaatī hai sañvlā.e hue lamhoñ kī dhuul
yaad ban jaatī hai ik mauhūm bhuul
shab ki chadar oDh kar aai hai
lamhon ki mahakti dhul mein lipTi hui
meri jaanib dhire dhire baDh rahi hai
aur main apne bistar-e-KHashak-o-KHas par
nim-wa aankhon se dhundli raushni ko
der se takta hua
dam-ba-KHud hun jhilmilati soch mein khoya hua
wo qarib aati hai
meri sans mein shoale jagati hai
meri dhaDkan ki lai ko kar rahi hai tez-tar
aur mujhe bedar-tar hoshyar-tar
hath jab baDhte hain chhune ke liye
aur ho jati hain gahri chadar-e-shab ki tahen
aur chha jati hai sanwlae hue lamhon ki dhul
yaad ban jati hai ek mauhum bhul
- Book : Sarhane Ka Charagh (Pg. 70)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.