yaad
ek ujlā sā kāñptā dhabbā
zehn kī sat.h par luḌhaktā huā
naqsh, jis meñ kabhī simaT aa.ī
laakh yādoñ kī mast añgḌā.ī
daaġh jis kī jabīn-e-ġham pe kabhī
ho gayā aa ke larza-bar-andām
kisī bhūle hue habīb kā naam
zaḳhm jis kī tapaktī tah se kabhī
ras paḌe dukhte ghuñghaT ulTā ke
kisī chehre ke saikḌoñ ḳhāke
aks an-dekhā aks tairtā hai
āñsuoñ kī ravāniyoñ meñ ravāñ
ruuh kī shorishoñ meñ sāya-kunāñ
zehn kī sat.h par luḌhaktā huā
ek ujla sa kanpta dhabba
zehn ki sath par luDhakta hua
naqsh, jis mein kabhi simaT aai
lakh yaadon ki mast angDai
dagh jis ki jabin-e-gham pe kabhi
ho gaya aa ke larza-bar-andam
kisi bhule hue habib ka nam
zaKHm jis ki tapakti tah se kabhi
ras paDe dukhte ghunghaT ulTa ke
kisi chehre ke saikDon KHake
aks an-dekha aks tairta hai
aansuon ki rawaniyon mein rawan
ruh ki shorishon mein saya-kunan
zehn ki sath par luDhakta hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.