yaad hai
ham ko ab tak apne bachpan kā zamānā yaad hai
dostoñ ke saath bārish meñ nahānā yaad hai
yaad hai vo jhūmnā vo nāchnā vo kūdnā
vo lapaknā aur vo paanī uḌānā yaad hai
be-tahāsha bhīgnā be-fikr ho kar khelnā
aur phir sardī ke maare kapkapānā yaad hai
bhiig kar bīmār paḌnā aur bistar meñ paḌe
chupke chupke raat din aañsū bahānā yaad hai
bhāgnā rañgoñ ke pīchhe ghaas ke maidān meñ
titliyoñ ke shauq meñ vo maar khānā yaad hai
dhuup kī mānind hai ye zindagī 'tāriq' mujhe
dhuup ke dālān meñ vo aanā jaanā yaad hai
hum ko ab tak apne bachpan ka zamana yaad hai
doston ke sath barish mein nahana yaad hai
yaad hai wo jhumna wo nachna wo kudna
wo lapakna aur wo pani uDana yaad hai
be-tahasha bhigna be-fikr ho kar khelna
aur phir sardi ke mare kapkapana yaad hai
bhig kar bimar paDna aur bistar mein paDe
chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai
bhagna rangon ke pichhe ghas ke maidan mein
titliyon ke shauq mein wo mar khana yaad hai
dhup ki manind hai ye zindagi 'tariq' mujhe
dhup ke dalan mein wo aana jaana yaad hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.