yaad rakhna
sitam par ik sitam ījād rakhnā
sitamgar hashr kī buniyād rakhnā
jahāñ tak ho sake barbād rakhnā
magar ik baat merī yaad rakhnā
nazar kī dil pe hī uftād rakhnā
mohabbat kā jahāñ ābād rakhnā
tumhārā duur se hī muskurānā
kabhī tirchhī nazar se dekh jaanā
mire so.e hue armāñ jagānā
vahī ik ḳhūbsūrat sā bahāna
tum apnī sab adā.eñ yaad rakhnā
mohabbat kā jahāñ ābād rakhnā
zamāna dushmanī phailā rahā hai
mohabbat par hameñ uksā rahā hai
hamesha se yahī hotā rahā hai
tumhārā bhī yahī sheva rahā hai
kabhī shādāñ kabhī nāshād rakhnā
mohabbat kā jahāñ ābād rakhnā
bahut dekhī hai maiñ ne jag-hañsā.ī
laboñ par mere jumbish tak na aa.ī
magar tū ne bhī kī hai bevafā.ī
duhā.ī hai are zālim duhā.ī
tah-e-ḳhanjar rag-e-fariyād rakhnā
mohabbat kā jahāñ ābād rakhnā
kahāñ tak dil-lagī chaltī rahegī
hamārī aap kī chaltī rahegī
kisī ke be-ruḳhī chaltī rahegī
kisī dil par chhurī chaltī rahegī
ravā itnā nahīñ bedād rakhnā
mohabbat kā jahāñ ābād rakhnā
sitam par ek sitam ijad rakhna
sitamgar hashr ki buniyaad rakhna
jahan tak ho sake barbaad rakhna
magar ek baat meri yaad rakhna
nazar ki dil pe hi uftad rakhna
mohabbat ka jahan aabaad rakhna
tumhaara dur se hi muskurana
kabhi tirchhi nazar se dekh jaana
mere soe hue arman jagana
wahi ek KHubsurat sa bahana
tum apni sab adaen yaad rakhna
mohabbat ka jahan aabaad rakhna
zamana dushmani phaila raha hai
mohabbat par hamein uksa raha hai
hamesha se yahi hota raha hai
tumhaara bhi yahi shewa raha hai
kabhi shadan kabhi nashad rakhna
mohabbat ka jahan aabaad rakhna
bahut dekhi hai main ne jag-hansai
labon par mere jumbish tak na aai
magar tu ne bhi ki hai bewafai
duhai hai are zalim duhai
tah-e-KHanjar rag-e-fariyaad rakhna
mohabbat ka jahan aabaad rakhna
kahan tak dil-lagi chalti rahegi
hamari aap ki chalti rahegi
kisi ke be-ruKHi chalti rahegi
kisi dil par chhuri chalti rahegi
rawa itna nahin bedad rakhna
mohabbat ka jahan aabaad rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.