yaad
yaad karte rahe aah bharte rahe
roz jiite rahe roz marte rahe
apne jazbāt ko qatl karte rahe
aur patthar ke ham ik sanam ho ga.e
zaḳhm hijrat kā terī mire dil pe hai
ruuh tūfāñ meñ hai jism sāhil pe hai
qatl karne se pahle badal jā.egā
ham ko ab bhī bharosa ye qātil pe hai
zindagī saaz hai pyaar sañgīt hai
pyaar kī haar bhī pyaar kī jiit hai
pyaar meñ hārte pyaar meñ jīt.te
pyaar ke giit kah ham qalam ho ga.e
maiñ ne qudrat ke rañgoñ meñ DhūñDhā tujhe
maiñ ne sheroñ meñ terī kahānī likhī
sher meñ bas tumhārā nazārā kiyā
din mubārak likhā shab suhānī likhī
sab haiñ apne yahāñ koī duujā nahīñ
pyaar sajda bhī hai sirf puujā nahīñ
ham azaañ ban ke gūñje tumhāre liye
aur hamāre liye tum bhajan ho ga.e
ham tumhāre hue tum kisī ke hue
koī merā huā zindagī ke liye
kuchh na jaane hue kuchh na samjhe hue
jaan detā hai merī ḳhushī ke liye
ai muqaddas ḳhudā tū use shaad rakh
us kī ḳhushiyāñ ghar us kā tū ābād rakh
us ko har ġham se maulā tū āzād rakh
us pe ab tak bahut se sitam ho ga.e
yaad karte rahe aah bharte rahe
roz jite rahe roz marte rahe
apne jazbaat ko qatl karte rahe
aur patthar ke hum ek sanam ho gae
zaKHm hijrat ka teri mere dil pe hai
ruh tufan mein hai jism sahil pe hai
qatl karne se pahle badal jaega
hum ko ab bhi bharosa ye qatil pe hai
zindagi saz hai pyar sangit hai
pyar ki haar bhi pyar ki jit hai
pyar mein haarte pyar mein jitte
pyar ke git kah hum qalam ho gae
main ne qudrat ke rangon mein DhunDha tujhe
main ne sheron mein teri kahani likhi
sher mein bas tumhaara nazara kiya
din mubarak likha shab suhani likhi
sab hain apne yahan koi duja nahin
pyar sajda bhi hai sirf puja nahin
hum azan ban ke gunje tumhaare liye
aur hamare liye tum bhajan ho gae
hum tumhaare hue tum kisi ke hue
koi mera hua zindagi ke liye
kuchh na jaane hue kuchh na samjhe hue
jaan deta hai meri KHushi ke liye
ai muqaddas KHuda tu use shad rakh
us ki KHushiyan ghar us ka tu aabaad rakh
us ko har gham se maula tu aazad rakh
us pe ab tak bahut se sitam ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.