yaaden
bahut sambhāl ke rakkheñ haiñ
ham ne un vaqtoñ kī yādeñ
jo hameñ maġhmūm rakhte the
jo apne apne vaqtoñ meñ
ham par musallat rahe
un dinoñ meñ masrūfiyat ke bāvajūd
ham zindagī ko aise dekh rahe the
jaise
ḳhud se kah rahe hoñ
ham nahīñ laḌnā chāhte un ke in irādoñ se
jo hameñ maliyāmeT karnā chāhte haiñ
ham jānte the
un ke irādoñ ke sāmne hamāre irāde
un kā muñh-toḌ javāb de sakte haiñ
lekin hamārī ḳhāmoshī ne un ko baḌhāvā diyā
ye hamāre ird-gard udāsī kā dā.era
tañg karte rahe
yahāñ tak ki ham is udāsī ke aadī ho ga.e
log kahte haiñ
ham us vaqt hamesha hālat-e-jañg meñ nazar aate the
jhele hue dinoñ ko ham aaj bhī nahīñ bhūle
bahut saiñt kar rakhī haiñ ham ne un vaqtoñ kī yādeñ
apne asāse meñ
apne purāne sandūq meñ
ye shāyad
jab ham par koī jurm aa.ed ho rahā ho
ye hamārī himāyat meñ purāne sandūq se bāhar aa jaa.eñ
bahut sambhaal ke rakkhen hain
hum ne un waqton ki yaaden
jo hamein maghmum rakhte the
jo apne apne waqton mein
hum par musallat rahe
un dinon mein masrufiyat ke bawajud
hum zindagi ko aise dekh rahe the
jaise
KHud se kah rahe hon
hum nahin laDna chahte un ke in iradon se
jo hamein maliyameT karna chahte hain
hum jaante the
un ke iradon ke samne hamare irade
un ka munh-toD jawab de sakte hain
lekin hamari KHamoshi ne un ko baDhawa diya
ye hamare ird-gard udasi ka daera
tang karte rahe
yahan tak ki hum is udasi ke aadi ho gae
log kahte hain
hum us waqt hamesha haalat-e-jang mein nazar aate the
jhele hue dinon ko hum aaj bhi nahin bhule
bahut saint kar rakhi hain hum ne un waqton ki yaaden
apne asase mein
apne purane sanduq mein
ye shayad
jab hum par koi jurm aaed ho raha ho
ye hamari himayat mein purane sanduq se bahar aa jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.