yaaden
chhoTe chhoTe tyauhāroñ kī kaisī ḳhushiyāñ thiiñ
ham phuljhaḌiyāñ le kar sahn meñ bhāge phirte the
shab-e-barāt pe maiñ ne bhī māñgī thī ek duā
us ke hoñToñ par bhī kitne harf sunahre the
garmī kī taptī do-pahreñ aur pīpal kā peḌ
merī dukhtī āñkhoñ meñ sukh chain utarte the
ik jaisī be maqsad socheñ ik jaise hañgām
umr ke ik hisse meñ 'farhat' ham bhī laḌke the
chhoTe chhoTe tyauhaaron ki kaisi KHushiyan thin
hum phuljhaDiyan le kar sahn mein bhage phirte the
shab-e-baraat pe main ne bhi mangi thi ek dua
us ke honTon par bhi kitne harf sunahre the
garmi ki tapti do-pahren aur pipal ka peD
meri dukhti aankhon mein sukh chain utarte the
ek jaisi be maqsad sochen ek jaise hangam
umr ke ek hisse mein 'farhat' hum bhi laDke the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.