yaadon ka cancer
sāñsoñ kā bojh bhārī ho jaane ke baad
maiñ use ghar chhoḌ kar safar par nikal paḌā huuñ
magar chauk meñ baiThī ḳhāmoshī
mujhe ghuur rahī hai
saarā din taḳhayyul kī duniyā meñ guzārne ke baad
shaam ke vaqt udāsiyoñ kā bojh uThā.e
maiñ luuT aatā huuñ
kyoñke raushan-dān se aane vaalā añdherā
mere binā ghabrā jaatā hai
mere kuchh ma.azūr ḳhvāb mere bistar par
merā intizār karte haiñ
magar niiñd ab merī duniyā se hijrat kar chukī hai
rāt-bhar āñkheñ āñsūoñ se mubāsharat kartī haiñ
merā zehn faqat hādsoñ ke baare meñ sochtā hai
rāt-bhar rone kī āvāzeñ aatī haiñ
maiñ ab bain kī lorī kā aadī ho chukā huuñ
rāt-bhar tez bārish ehtijāj kartī hai
maiñ ġhamoñ ko purānā aḳhbār samajh kar
jalā denā chāhtā huuñ
magar in aḳhbāroñ par merī chand
muskurātī tasvīreñ haiñ
peḌ mere qahqahoñ se ḳhaufzada ho jaate haiñ
sadiyoñ se yahī sab dohrātā maiñ sochtā huuñ
ki kyā raat insān kī dushman hai
yā phir añdherā yā kisī kī yaad kā cancer
sanson ka bojh bhaari ho jaane ke baad
main use ghar chhoD kar safar par nikal paDa hun
magar chauk mein baiThi KHamoshi
mujhe ghur rahi hai
sara din taKHayyul ki duniya mein guzarne ke baad
sham ke waqt udasiyon ka bojh uThae
main luT aata hun
kyonke raushan-dan se aane wala andhera
mere bina ghabra jata hai
mere kuchh mazur KHwab mere bistar par
mera intizar karte hain
magar nind ab meri duniya se hijrat kar chuki hai
raat-bhar aankhen aansuon se mubasharat karti hain
mera zehn faqat hadson ke bare mein sochta hai
raat-bhar rone ki aawazen aati hain
main ab bain ki lori ka aadi ho chuka hun
raat-bhar tez barish ehtijaj karti hai
main ghamon ko purana aKHbar samajh kar
jala dena chahta hun
magar in aKHbaron par meri chand
muskuraati taswiren hain
peD mere qahqahon se KHaufzada ho jate hain
sadiyon se yahi sab dohraata main sochta hun
ki kya raat insan ki dushman hai
ya phir andhera ya kisi ki yaad ka cancer
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.