yaadon ki manus hawa
ḳhat un kā anjān shahr se aanā thā na aaya hai
paḌh kar novel afsānoñ ko dil apnā bahlāyā hai
ġham kā panchhī des des sahrā sahrā mañDlāyā hai
Daalī Daalī DhūñD chukā pattā pattā khaḌkāyā hai
yādoñ kī mānūs havā se zaḳhmoñ ko sahlāyā hai
yaad nahīñ kyā un ko bachpan kitne naaz uThāte the
rūThā kartā thā maiñ aksar pahroñ mujhe manāte the
so jaatā thā jab maiñ thak kar is mahuve ke peḌ tale
miTTī ke darbān kā pahra sirhāne biThlāte the
kyā purvā ke ThanDe jhoñke un ke des nahīñ jaate
un ke āñgan ke mausam rūmānī giit nahīñ gaate
aao bachcho saath tumhāre ret gharauñde ham bhī kheleñ
taal se giilī miTTī laao ik mūrat un kī Dhāleñ
khel ḳhatm ho jaane tak phir in ke nishāñ miTā denā
aaj yahāñ jo khel rahe ho kal us jagah banā lenā
varna ye reze ban ban kar sadiyoñ chubhte rahte haiñ
āñkhoñ se Takrāte haiñ phir dil ko chhalnī karte haiñ
vo dekho is peḌ ke nīche īñTeñ patthar bikhre haiñ
mere ujḌe shīsh-mahal ke nāzuk nāzuk TukḌe haiñ
le jaao barsā do in ko aam ke pakke gūdoñ par
yā phir in ko pheñk do kaalī koyal zard papīhoñ par
KHat un ka anjaan shahr se aana tha na aaya hai
paDh kar nowel afsanon ko dil apna bahlaya hai
gham ka panchhi des des sahra sahra manDlaya hai
Dali Dali DhunD chuka patta patta khaDkaya hai
yaadon ki manus hawa se zaKHmon ko sahlaya hai
yaad nahin kya un ko bachpan kitne naz uThate the
ruTha karta tha main aksar pahron mujhe manate the
so jata tha jab main thak kar is mahuwe ke peD tale
miTTi ke darban ka pahra sirhane biThlate the
kya purwa ke ThanDe jhonke un ke des nahin jate
un ke aangan ke mausam rumani git nahin gate
aao bachcho sath tumhaare ret gharaunde hum bhi khelen
tal se gili miTTi lao ek murat un ki Dhaalen
khel KHatm ho jaane tak phir in ke nishan miTa dena
aaj yahan jo khel rahe ho kal us jagah bana lena
warna ye reze ban ban kar sadiyon chubhte rahte hain
aankhon se Takraate hain phir dil ko chhalni karte hain
wo dekho is peD ke niche inTen patthar bikhre hain
mere ujDe shish-mahal ke nazuk nazuk TukDe hain
le jao barsa do in ko aam ke pakke gudon par
ya phir in ko phenk do kali koyal zard papihon par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.