yaadon ki zanjiren
apne aap se laḌte laḌte ek zamāna biit gayā
ab maiñ apne jism ke bikhre TukḌoñ ke ambār pe baiThā
soch rahā huuñ
merā in se kyā rishta hai
in kā aapas meñ kyā rishta hai
kaun huuñ maiñ
aur kis talvār se maiñ ne apne jism ke TukḌe kaaTe haiñ
ab maiñ kyā huuñ
aur ab mujh ko kyā karnā hai
maiñ ne kyā ta.amīr kiyā thā
chhoTī chhoTī yādoñ kī zanjīr se
maiñ ne apne añg añg ko bāñdh liyā thā
apne gird purāne aur na.e lafzoñ kī dīvāreñ chun lī thiiñ
ab merā in dīvāroñ se
in zanjīroñ se
koī rishta baaqī hai to itnā hai
jaise apnī rihā.ī kā mujh ko yaqīñ na ho
maiñ dīvāna huuñ
ab mujh se itnā faiz karo yaaro
maiñ ne jitne sher likhe haiñ mere sar pe de maaro
apne aap se laDte laDte ek zamana bit gaya
ab main apne jism ke bikhre TukDon ke ambar pe baiTha
soch raha hun
mera in se kya rishta hai
in ka aapas mein kya rishta hai
kaun hun main
aur kis talwar se main ne apne jism ke TukDe kaTe hain
ab main kya hun
aur ab mujh ko kya karna hai
main ne kya tamir kiya tha
chhoTi chhoTi yaadon ki zanjir se
main ne apne ang ang ko bandh liya tha
apne gird purane aur nae lafzon ki diwaren chun li thin
ab mera in diwaron se
in zanjiron se
koi rishta baqi hai to itna hai
jaise apni rihai ka mujh ko yaqin na ho
main diwana hun
ab mujh se itna faiz karo yaro
main ne jitne sher likhe hain mere sar pe de maro
- Book : Deewar pe dastak (Pg. 619)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.