yahi sab kuchh hai
yahī sab kuchh hai
agar Thahrī huī gahrī nazar se dekho
be-sabab aañkh se bahtī huī ashkoñ kī qatār
kapkapāte hue hoñToñ kā sukūt
jism ke tund mah-o-sāl
zamāne kī jhulastī huī dopahar meñ saa.e ke sulagte andām
saañs kī lahr se larzā huā zulfoñ kā hisār
raqs kartī huī ḳhvāhish se chhalakte hue zard ayyām
tamām
maan lete haiñ ki ye vaqt badalte lahje
ab bhī e.ajāz dikhā sakte haiñ
ye masīhā.ī kā jhuriyoñ bharā chehrā ab bhī
muskurāhaT ke liye tāzgī chun saktā hai
ye guzishta kā fusūñ-baḳht havāle ab bhī
vaqt kī nabz thamā sakte haiñ
lekin aisā hai ki jab dhaḌkaneñ ghuñghrū ban jaa.eñ
ḳhvāhisheñ raqs kiyā kartī haiñ sukūñ kī jhanak boltī hai
thartharāte hue jismoñ se havāsoñ kā dhuāñ uThtā hai
ishtihā aag janā kartī hai
bhuuk ifrīt hai
vahshat hai baḌī aafat hai
bhuuk ḳhamyāza-e-jān-o-tan hai
be-par-o-bāl kiyā kartī hai
vaqt kī taal ko be-tāl kiyā kartī hai
bhuuk a.asāb-e-shikasta kī khulī bai.at hai
ye ḳhad-o-ḳhāl kuchal detī hai
tahzīb ke reshoñ ko masal detī hai
aur sarmāya-parastī ke sunahre ayyām
gird-e-ruḳhsār shab-o-roz pe mil jaate haiñ
sīna-e-ḳhāk ko dahlātā huā sūr-e-falak
mutma.in ḳhāk-nashīnoñ ke liye
roz hī roz viġhā laatā hai
aur shab-o-roz mah-o-sāl meñ Dhal jaate haiñ
yahī sab kuchh hai agar Thahrī hui gahrī nazar se dekho
surḳhī-e-chashm kahīñ pahlū-e-be-tāb kahīñ
be-karāñ bāheñ kahīñ
lams kahīñ
ḳhvāb kahīñ
lahariyā pardoñ se chhantī hui shāmoñ kā nasha
jism sahlātī hui raat kā nam
besh na kam
yahi sab kuchh hai
agar Thahri hui gahri nazar se dekho
be-sabab aankh se bahti hui ashkon ki qatar
kapkapate hue honTon ka sukut
jism ke tund mah-o-sal
zamane ki jhulasti hui dopahar mein sae ke sulagte andam
sans ki lahr se larza hua zulfon ka hisar
raqs karti hui KHwahish se chhalakte hue zard ayyam
tamam
man lete hain ki ye waqt badalte lahje
ab bhi eajaz dikha sakte hain
ye masihai ka jhuriyon bhara chehra ab bhi
muskurahaT ke liye tazgi chun sakta hai
ye guzishta ka fusun-baKHt hawale ab bhi
waqt ki nabz thama sakte hain
lekin aisa hai ki jab dhaDkanen ghunghru ban jaen
KHwahishen raqs kiya karti hain sukun ki jhanak bolti hai
thartharaate hue jismon se hawason ka dhuan uThta hai
ishtiha aag jana karti hai
bhuk ifrit hai
wahshat hai baDi aafat hai
bhuk KHamyaza-e-jaan-o-tan hai
be-par-o-baal kiya karti hai
waqt ki tal ko be-tal kiya karti hai
bhuk aasab-e-shikasta ki khuli baiat hai
ye KHad-o-KHal kuchal deti hai
tahzib ke reshon ko masal deti hai
aur sarmaya-parasti ke sunahre ayyam
gird-e-ruKHsar shab-o-roz pe mil jate hain
sina-e-KHak ko dahlata hua sur-e-falak
mutmain KHak-nashinon ke liye
roz hi roz wigha lata hai
aur shab-o-roz mah-o-sal mein Dhal jate hain
yahi sab kuchh hai agar Thahri hui gahri nazar se dekho
surKHi-e-chashm kahin pahlu-e-be-tab kahin
be-karan bahen kahin
lams kahin
KHwab kahin
lahariya pardon se chhanti hui shamon ka nasha
jism sahlati hui raat ka nam
besh na kam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.