yaqin
chaap qadmoñ kī suno raat ke taare na gino
koī aa.egā ba-har-hāl zarūr aa.egā
apnī āñkhoñ meñ chhupā.e hue sapne kal ke
le ke tābinda nigāhoñ kā ġhurūr aa.egā
yās-o-hirmāñ ke añdheroñ meñ sitāre bhar do
dil ke ḳhvābīda darīchoñ se kaho aañkh maleñ
bād-e-sarsar se kaho jā ke chale aur kahīñ
ḳhvāb-e-fardā ke dar-o-bām pe kuchh diip jaleñ
le ke ākāsh pe aatī hai kise kāhkashāñ
chāñd hai yā kisī kamsin ke ḳhad-o-ḳhāl kā nuur
yā khulī zulf ko bikhrā.e hue raat ke vaqt
raqs-farmā hai kisī jannat-e-shādāb kī huur
oḌh kar chādar-e-sīmāb koī zohra-jamāl
jagmagāte hue tāroñ se utartī hai zarūr
gā ke dhartī kī nigāhoñ meñ ḳhumārīñ naġhme
de ke āvāz dabe paañv guzartī hai zarūr
chaap qadmoñ kī suno raat ke taare na gino
koī aa.egā ba-har-hāl zarūr aa.egā
chap qadmon ki suno raat ke tare na gino
koi aaega ba-har-haal zarur aaega
apni aankhon mein chhupae hue sapne kal ke
le ke tabinda nigahon ka ghurur aaega
yas-o-hirman ke andheron mein sitare bhar do
dil ke KHwabida darichon se kaho aankh malen
baad-e-sarsar se kaho ja ke chale aur kahin
KHwab-e-farda ke dar-o-baam pe kuchh dip jalen
le ke aakash pe aati hai kise kahkashan
chand hai ya kisi kamsin ke KHad-o-KHal ka nur
ya khuli zulf ko bikhrae hue raat ke waqt
raqs-farma hai kisi jannat-e-shadab ki hur
oDh kar chadar-e-simab koi zohra-jamal
jagmagate hue taron se utarti hai zarur
ga ke dharti ki nigahon mein KHumarin naghme
de ke aawaz dabe panw guzarti hai zarur
chap qadmon ki suno raat ke tare na gino
koi aaega ba-har-haal zarur aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.