yaqin se bahar bikhra sach
mahakte reshmī bistar pe TuuTā kāñch bikhrā hai
mulā.em narm takiye meñ basī hai khurdurī ḳhushbū
nashīlī niiñd ke TukḌe haiñ kūḌe-dān kī zīnat
likhī haiñ qurmuzī pardoñ pe nā-mānūs tahrīreñ
sunahre phūl-dānoñ meñ sajī haiñ ajnabī āñkheñ
ye sab kaise huā aur kyuuñ huā
kis ḳhvāb se pūchhūñ
maiñ kyā sochūñ
mirī socheñ mire apne lahū meñ Duub jaatī haiñ
hai koī zaḳhm aisā jo musalsal ḳhuuñ ugaltā hai
lahū kī dhaar girtī hai
ḳhayāl-o-ḳhvāb ke uupar
mahakte reshmi bistar pe TuTa kanch bikhra hai
mulaem narm takiye mein basi hai khurduri KHushbu
nashili nind ke TukDe hain kuDe-dan ki zinat
likhi hain qurmuzi pardon pe na-manus tahriren
sunahre phul-danon mein saji hain ajnabi aankhen
ye sab kaise hua aur kyun hua
kis KHwab se puchhun
main kya sochun
meri sochen mere apne lahu mein Dub jati hain
hai koi zaKHm aisa jo musalsal KHun ugalta hai
lahu ki dhaar girti hai
KHayal-o-KHwab ke upar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.