yaqin
tū shahr meñ nahīñ hai
tū shahr-e-jāñ ke andar
aalam hai zalzaloñ kā
vahshat bichhī hai har-sū
āñkhoñ kī putliyoñ pe
yādeñ tumhārī aañsū ban ke rukī huī haiñ
ik bhiiḌ hai agarche
āñkhoñ ke aage har-sū
ḳhud ko maiñ dekh kitnī tanhā sī lag rahī thī
phir ek-dam se mujh ko
ThanDī havā kā jhoñkā
barfāb kar gayā to
sargoshiyoñ meñ ḳhud ko
maiñ ne yaqīñ dilāyā
tū hai jahāñ kahīñ bhī
dil ke qarīñ hai mere
aa.egā lauT kar tū
mere hī bāzuoñ meñ
tū shahr meñ nahīñ hai
tū shahr-e-jāñ ke andar
aalam hai zalzaloñ kā
tu shahr mein nahin hai
tu shahr-e-jaan ke andar
aalam hai zalzalon ka
wahshat bichhi hai har-su
aankhon ki putliyon pe
yaaden tumhaari aansu ban ke ruki hui hain
ek bhiD hai agarche
aankhon ke aage har-su
KHud ko main dekh kitni tanha si lag rahi thi
phir ek-dam se mujh ko
ThanDi hawa ka jhonka
barfab kar gaya to
sargoshiyon mein KHud ko
main ne yaqin dilaya
tu hai jahan kahin bhi
dil ke qarin hai mere
aaega lauT kar tu
mere hi bazuon mein
tu shahr mein nahin hai
tu shahr-e-jaan ke andar
aalam hai zalzalon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.