yatim bachche ka dard
ammāñ ab maiñ baḌā ho gayā
tīsre darje meñ paḌhtā huuñ
yaad aate haiñ mujh ko vo din
sub.h jagātī thiiñ tum mujh ko
muñh dhulvātīñ nahlātīñ thiiñ
juute par polish kartī thiiñ
dress mujhe pahnātī thiiñ tum
tiffin mire hāthoñ meñ de kar
roz ḳhudā-hāfiz kahtī thiiñ
jab schōl se aatā thā maiñ
apnī god meñ le kar mujh ko
pyaar se merā bosa letīñ
lekin ab ke jab se ga.ī ho
ghar meñ ik sannāTā sā hai
jab schōl ko jaatā huuñ maiñ
dress nahīñ pahnātā koī
tiffin nahīñ detā hai koī
kahtā nahīñ ḳhudā-hāfiz bhī
ammāñ mujh ko ye to batāo
jo allāh ke ghar jaatā hai
kyā vo lauT nahīñ paatā hai
kaun mire āñsuoñ ko poñchhe
kaun gale se mujh ko lagā.e
mujh ko lorī kaun sunā.e
apnā dard sunā.ūñ kis ko
amman ab main baDa ho gaya
tisre darje mein paDhta hun
yaad aate hain mujh ko wo din
subh jagati thin tum mujh ko
munh dhulwatin nahlatin thin
jute par polish karti thin
dress mujhe pahnati thin tum
tiffin mere hathon mein de kar
roz KHuda-hafiz kahti thin
jab school se aata tha main
apni god mein le kar mujh ko
pyar se mera bosa letin
lekin ab ke jab se gai ho
ghar mein ek sannaTa sa hai
jab school ko jata hun main
dress nahin pahnata koi
tiffin nahin deta hai koi
kahta nahin KHuda-hafiz bhi
amman mujh ko ye to batao
jo allah ke ghar jata hai
kya wo lauT nahin pata hai
kaun mere aansuon ko ponchhe
kaun gale se mujh ko lagae
mujh ko lori kaun sunae
apna dard sunaun kis ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.