ye aankh muntazir hai kisi inqalab ki
sho.ale bhaḌak rahe haiñ
inād-o-fasād ke
is daur-e-āgahī meñ
to jiinā azaab hai
makr-o-fareb kā yahāñ hai
jaal sā bichhā
sach kā yahāñ to rahnā hī
mutlaq harām hai
taaza havā bhī kaise mile
nasl-e-nau ko jab
āb-o-havā meñ phailī bū
ālūdgī sī ho
manzar ye saare dekh ke
āñkheñ baras paḌīñ
hai jaan kī amaañ na hī
mahfūz māl-o-zar
yā-rab duā hai raat kī
kaalī ghaTā haTe
ho jaa.eñ bārisheñ yahāñ
anvār-e-sahar kī
sūrat nazar meñ aa.e
kisī chārāgar kī ab
ye aañkh muntazir hai
kisī inqalāb kī
shoale bhaDak rahe hain
inad-o-fasad ke
is daur-e-agahi mein
to jina azab hai
makr-o-fareb ka yahan hai
jal sa bichha
sach ka yahan to rahna hi
mutlaq haram hai
taza hawa bhi kaise mile
nasl-e-nau ko jab
aab-o-hawa mein phaili bu
aaludgi si ho
manzar ye sare dekh ke
aankhen baras paDin
hai jaan ki aman na hi
mahfuz mal-o-zar
ya-rab dua hai raat ki
kali ghaTa haTe
ho jaen barishen yahan
anwar-e-sahar ki
surat nazar mein aae
kisi chaaragar ki ab
ye aankh muntazir hai
kisi inqalab ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.