ye barham nai nasl
ye barham nasl bhī raushnī hai
ḳhayāloñ kī sab khiḌkiyāñ khol rakho
'salām' apnī nazmoñ se kah do sañvar leñ
kaho kāġhazoñ se ki vo rang bhar leñ
kaho in gulāboñ se
āñgan ke in jāvedāñ māhtāboñ se
un kī sadī hai
jo ab sāmne hai
vahī zindagī hai
ye barham na.ī nasl bhī raushnī hai
ḳhayāloñ kī sab khiḌkiyāñ khol rakkho
2
agar sub.h-e-nau kā hai parcham zarūrī
to phir us kā hai ḳhair-maqdam zarūrī
muqaffal hue to
añdhere meñ tanhā.ī kā naag Dasne lagegā
tumhāre taḳhayyul ke firdaus meñ
qāfila aisī rūhoñ kā basne lagegā
jo tum se kaheñge
'salām' apnī nazmoñ ke darpan meñ dekho
tum.hārā taḳhayyul vo turbat hai jis par
fareb-e-ḳhudī kī bhī chādar nahīñ hai
natīja
vahī
aaj tak jo huā hai
3
ye barham na.ī nasl zinda haqīqat hai
afsāna-e-ḳhvāb pāmāl kar do
ye māñgī huī botaloñ kī hasīna
ye 'ishrat mahal
aur 'ishrat mahal meñ ye nashshe kā jaadū
ye nashsha añdherā
añdherā añdherā añdherā
agar raushnī kī zarūrat hai tum ko
to phir cigarettoñ ke dhueñ kā banāyā
ye madqūq mahtāb pāmāl kar do
ye barham na.ī nasl bhī raushnī hai
ḳhayāloñ kī sab khiḌkiyāñ khol rakkho
ye barham nasl bhi raushni hai
KHayalon ki sab khiDkiyan khol rakho
'salam' apni nazmon se kah do sanwar len
kaho kaghazon se ki wo rang bhar len
kaho in gulabon se
aangan ke in jawedan mahtabon se
un ki sadi hai
jo ab samne hai
wahi zindagi hai
ye barham nai nasl bhi raushni hai
KHayalon ki sab khiDkiyan khol rakkho
2
agar subh-e-nau ka hai parcham zaruri
to phir us ka hai KHair-maqdam zaruri
muqaffal hue to
andhere mein tanhai ka nag Dasne lagega
tumhaare taKHayyul ke firdaus mein
qafila aisi ruhon ka basne lagega
jo tum se kahenge
'salam' apni nazmon ke darpan mein dekho
tumhaara taKHayyul wo turbat hai jis par
fareb-e-KHudi ki bhi chadar nahin hai
natija
wahi
aaj tak jo hua hai
3
ye barham nai nasl zinda haqiqat hai
afsana-e-KHwab pamal kar do
ye mangi hui botalon ki hasina
ye 'ishrat mahal
aur 'ishrat mahal mein ye nashshe ka jadu
ye nashsha andhera
andhera andhera andhera
agar raushni ki zarurat hai tum ko
to phir cigaretton ke dhuen ka banaya
ye madquq mahtab pamal kar do
ye barham nai nasl bhi raushni hai
KHayalon ki sab khiDkiyan khol rakkho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.