ye ghar jal kar girega
ye ghar jal kar giregā
tum ne lau dhīmī nahīñ kī
hijratī ghar chhoḌne ke bhī koī ādāb hote haiñ
chalo do chaar din rah lo
kisī ke aane jaane tak
jahāñ tak ma.asiyat hai irtiqā kā dar khulā hai
ye ghar jal kar giregā
in parindoñ se kaho dahlīz se aage nikal jaa.eñ
ḳhudā-e-ḳhushk-o-tar kī saltanat ik ghar nahīñ hai
aur mausam haiñ havādis ke
abhī bārish bhī hogī
abhī bārish bhī hogī
ḳhema-dozoñ se kaho ik bādbāñ sī leñ
kisī kī bāzyābī tak ye saarā shahr
jalne ke liye baaqī rahegā
tum diye kī lau magar āhista rakhnā
aur mausam haiñ havādis ke
jahāñ tak ma.asiyat hai irtiqā kā dar khulā hai
ye ghar jal kar girega
tum ne lau dhimi nahin ki
hijrati ghar chhoDne ke bhi koi aadab hote hain
chalo do chaar din rah lo
kisi ke aane jaane tak
jahan tak masiyat hai irtiqa ka dar khula hai
ye ghar jal kar girega
in parindon se kaho dahliz se aage nikal jaen
KHuda-e-KHushk-o-tar ki saltanat ek ghar nahin hai
aur mausam hain hawadis ke
abhi barish bhi hogi
abhi barish bhi hogi
KHema-dozon se kaho ek baadban si len
kisi ki bazyabi tak ye sara shahr
jalne ke liye baqi rahega
tum diye ki lau magar aahista rakhna
aur mausam hain hawadis ke
jahan tak masiyat hai irtiqa ka dar khula hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.