ye hai sab jhuT magar taza KHabar
nannhī sī chyūñTī ne lalkārā hai ik hāthī ko
log karte haiñ salām us kī javāñ-mardī ko
ho agar 'azm javāñ kuchh bhī nahīñ nā-mumkin
haañ takabbur hī janam detā hai nākāmī ko
hairat-angez yaqīnan hai ye saarā manzar
aaj kī taaza ḳhabar aaj kī taaza ḳhabar
saañp ke ḳhauf se ik nevlā jhāḌī meñ chhupā
kal jo thā sher nazar aatā hai gīdaḌ jaisā
kaam hikmat bhī nahīñ aatī hai be-himmat kī
saañp ne nevle ko jhāḌī meñ ghus kar maarā
mā'rka nazroñ se aisā kabhī guzrā na magar
aaj kī taaza ḳhabar aaj kī taaza ḳhabar
dekho mā'mūlī parindoñ ne kiyā hai ye kamāl
murġhiyāñ tang huiiñ kar diyā sab ne haḌtāl
khā ga.e le ke maza log sab un ke anDe
nasl ab kaise chale sāmne un ke hai savāl
murġhiyāñ baiThī haiñ haḌtāl pe tā-hadd-e-nazar
aaj kī taaza ḳhabar aaj kī taaza ḳhabar
ghaas khātā huā ik sher nazar aayā hai
ġhol ne hirnoñ ke hairat se use dekhā hai
us ko majbūr kiyā hai kisī bīmārī ne
gosht khāne se hakīmoñ ne use rokā hai
hairat-angez nazar aatā hai saarā manzar
aaj kī taaza ḳhabar aaj kī taaza ḳhabar
nannhi si chyunTi ne lalkara hai ek hathi ko
log karte hain salam us ki jawan-mardi ko
ho agar 'azm jawan kuchh bhi nahin na-mumkin
han takabbur hi janam deta hai nakaami ko
hairat-angez yaqinan hai ye sara manzar
aaj ki taza KHabar aaj ki taza KHabar
sanp ke KHauf se ek newla jhaDi mein chhupa
kal jo tha sher nazar aata hai gidaD jaisa
kaam hikmat bhi nahin aati hai be-himmat ki
sanp ne newle ko jhaDi mein ghus kar mara
ma'rka nazron se aisa kabhi guzra na magar
aaj ki taza KHabar aaj ki taza KHabar
dekho ma'muli parindon ne kiya hai ye kamal
murghiyan tang huin kar diya sab ne haDtal
kha gae le ke maza log sab un ke anDe
nasl ab kaise chale samne un ke hai sawal
murghiyan baiThi hain haDtal pe ta-hadd-e-nazar
aaj ki taza KHabar aaj ki taza KHabar
ghas khata hua ek sher nazar aaya hai
ghol ne hirnon ke hairat se use dekha hai
us ko majbur kiya hai kisi bimari ne
gosht khane se hakimon ne use roka hai
hairat-angez nazar aata hai sara manzar
aaj ki taza KHabar aaj ki taza KHabar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.