ye ishq-nagar wo basti hai
ye ishq-nagar vo bastī hai
jahāñ roz-e-azal se khel hai ye
jo dil meñ armāñ palte haiñ
vahī dil kī aag meñ jalte haiñ
jo sapne āñkheñ buntī haiñ
vahī kirchī kirchī chuntī haiñ
yahāñ rūThtī haiñ jab taqdīreñ
phir chaltī nahīñ haiñ tadbīreñ
yahāñ paañv meñ chhan-chhan kartī haiñ
armāñ hasrat kī zanjīreñ
yahāñ dil meñ jo aa baste haiñ
vahī dil ko aa kar Daste haiñ
vo pahle pāgal karte haiñ
phir pāgal-pan pe hañste haiñ
yahāñ bin bādal barsāt rahe
yahāñ ġham kī kaalī raat rahe
jo is bastī meñ aa jaa.e
koī naam rahe na zaat rahe
ye ishq-nagar vo bastī hai
jahāñ roz-e-azal se khel hai ye
ye ishq-nagar wo basti hai
jahan roz-e-azal se khel hai ye
jo dil mein arman palte hain
wahi dil ki aag mein jalte hain
jo sapne aankhen bunti hain
wahi kirchi kirchi chunti hain
yahan ruThti hain jab taqdiren
phir chalti nahin hain tadbiren
yahan panw mein chhan-chhan karti hain
arman hasrat ki zanjiren
yahan dil mein jo aa baste hain
wahi dil ko aa kar Daste hain
wo pahle pagal karte hain
phir pagal-pan pe hanste hain
yahan bin baadal barsat rahe
yahan gham ki kali raat rahe
jo is basti mein aa jae
koi nam rahe na zat rahe
ye ishq-nagar wo basti hai
jahan roz-e-azal se khel hai ye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.