ye jo sham zar-nigar hai
ek udaas chāñd se lagāo ke dinoñ kī yādgār hai
maiñ manzaroñ se sarsarī guzarne vaalā shaḳhs thā
yūñhī sī ek shaam thī aur ek jhiil thī
ki jis meñ us kā aks thā
so maiñ vahīñ Thahar gayā
vo chāñd mere saare jism meñ utar gayā
ye ek hijr jo azal se mere us ke darmiyān thā
magar ajab junūn thā jo chāhtā thā
dūriyoñ ko toḌ de
lagām-e-asp-e-āsmāñ zamīñ kī samt moḌ de
achānak ek sub.h merī āñkheñ bujh ga.iiñ
yā udaas chāñd ko sahar nigal ga.ī
ye jo shaam zar-nigār hai
ek udaas chāñd se lagāo ke dinoñ kī yādgār hai
ek udas chand se lagao ke dinon ki yaadgar hai
main manzaron se sarsari guzarne wala shaKHs tha
yunhi si ek sham thi aur ek jhil thi
ki jis mein us ka aks tha
so main wahin Thahar gaya
wo chand mere sare jism mein utar gaya
ye ek hijr jo azal se mere us ke darmiyan tha
magar ajab junun tha jo chahta tha
duriyon ko toD de
lagam-e-asp-e-asman zamin ki samt moD de
achanak ek subh meri aankhen bujh gain
ya udas chand ko sahar nigal gai
ye jo sham zar-nigar hai
ek udas chand se lagao ke dinon ki yaadgar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.