ye kaise log hain
ye kaise log haiñ jo sañg-basta jāliyoñ kī tarah āñkheñ band rakhte haiñ
sirhāne laḌkiyoñ ke raat kī bikhrī kitābeñ haiñ
aur un ke ḳhvāb añdheroñ ke darakte rauzanoñ se
dhaḌdhaḌātī billiyoñ kī tarah ghar ghar phail jaate haiñ
maiñ saarī raat āvāzoñ kā mub.ham shor suntā huuñ
aur āñkheñ band rakhtā huuñ
aur un ke saath ho letā huuñ jin kā rāsta merā muqaddar hai
so ab merī gavāhī kaun degā
ki maiñ apnī gavāhī ke liye zinda nahīñ huuñ
vo aise log the jo
dasht-e-be-dīvār meñ apne safar kā niiñd se āġhāz karte the
aur un kī uñgliyāñ sahrā.ī sāñpoñ kī tarah un ke badan par reñgtī thiiñ
aur un kī gardaneñ TuuTī kamānoñ kī tarah un ke badan par jhūltī thiiñ
vo apnī paT-khulī āñkhoñ se sote the
vo chalte the to un kī āstīneñ paañv meñ aatī thiiñ
aur vo ruk ke chalte the
daraḳhtoñ meñ kahīñ baiThā rupahlī rut kā kārinda
samundar samt kā qutbī sitāra hai
samundar merī āñkhoñ kā ishāra hai
use kahnā vo merī mez par apnī hathelī yuuñ jamā.e mujh ko mat dekhe
use kahnā sitāroñ aur un kī chaal meñ kuchh farq hotā hai
use kahnā vo apnī gardan-e-be-sāḳhta ke aa.ine meñ mujh ko mat dekhe
use kahnā vo apnī billiyoñ kī gardanoñ par haath rakh kar mujh ko mat dekhe
use kahnā mohabbat ik akelī naav hai
aur āsmāñ ā.īna-bardārī kā mujrim hai
ye kaise log hain jo sang-basta jaliyon ki tarah aankhen band rakhte hain
sirhane laDkiyon ke raat ki bikhri kitaben hain
aur un ke KHwab andheron ke darakte rauzanon se
dhaDdhaDati billiyon ki tarah ghar ghar phail jate hain
main sari raat aawazon ka mubham shor sunta hun
aur aankhen band rakhta hun
aur un ke sath ho leta hun jin ka rasta mera muqaddar hai
so ab meri gawahi kaun dega
ki main apni gawahi ke liye zinda nahin hun
wo aise log the jo
dasht-e-be-diwar mein apne safar ka nind se aaghaz karte the
aur un ki ungliyan sahrai sanpon ki tarah un ke badan par rengti thin
aur un ki gardanen TuTi kamanon ki tarah un ke badan par jhulti thin
wo apni paT-khuli aankhon se sote the
wo chalte the to un ki aastinen panw mein aati thin
aur wo ruk ke chalte the
daraKHton mein kahin baiTha rupahli rut ka karinda
samundar samt ka qutbi sitara hai
samundar meri aankhon ka ishaara hai
use kahna wo meri mez par apni hatheli yun jamae mujh ko mat dekhe
use kahna sitaron aur un ki chaal mein kuchh farq hota hai
use kahna wo apni gardan-e-be-saKHta ke aaine mein mujh ko mat dekhe
use kahna wo apni billiyon ki gardanon par hath rakh kar mujh ko mat dekhe
use kahna mohabbat ek akeli naw hai
aur aasman aaina-bardari ka mujrim hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.