ye kashmir hamara hai
kesar kī kyārī hai apnī
har ik phulvārī hai apnī
jannat ye nyārī hai apnī
is jannat par ham ne apne tan-man-dhan ko vaarā hai
ham kashmīrī ham kashmīrī ye kashmīr hamārā hai
is dhartī kā nirmal paanī
ā.īne sā ujjal paanī
halkā-mīThā shītal paanī
is paanī ne apne sab khetoñ kā kaaj sañvārā hai
ham kashmīrī ham kashmīrī ye kashmīr hamārā hai
is ke viir bahādur beTe
ban jaa.eñ taqdīr ke heTe
daulat is kī ġhair sameTe
ġhairat apnī kab ye maane kab ye hameñ gavārā hai
ham kashmīrī ham kashmīrī ye kashmīr hamārā hai
naddī kī āvāz ke andar
jharne ke har saaz ke andar
jehlam ke har naaz ke andar
naġhma kitnā sundar hai ye giit ye kitnā pyārā hai
ham kashmīrī ham kashmīrī ye kashmīr hamārā hai
ek naqsh-e-arzañg bane ham
qudrat kā nairañg bane ham
bhārat kā ik añg bane ham
bhārat ke ham bhārat apnā bhārat ham ko pyārā hai
ham kashmīrī ham kashmīrī ye kashmīr hamārā hai
kesar ki kyari hai apni
har ek phulwari hai apni
jannat ye nyari hai apni
is jannat par hum ne apne tan-man-dhan ko wara hai
hum kashmiri hum kashmiri ye kashmir hamara hai
is dharti ka nirmal pani
aaine sa ujjal pani
halka-miTha shital pani
is pani ne apne sab kheton ka kaj sanwara hai
hum kashmiri hum kashmiri ye kashmir hamara hai
is ke wir bahadur beTe
ban jaen taqdir ke heTe
daulat is ki ghair sameTe
ghairat apni kab ye mane kab ye hamein gawara hai
hum kashmiri hum kashmiri ye kashmir hamara hai
naddi ki aawaz ke andar
jharne ke har saz ke andar
jehlam ke har naz ke andar
naghma kitna sundar hai ye git ye kitna pyara hai
hum kashmiri hum kashmiri ye kashmir hamara hai
ek naqsh-e-arzang bane hum
qudrat ka nairang bane hum
bhaarat ka ek ang bane hum
bhaarat ke hum bhaarat apna bhaarat hum ko pyara hai
hum kashmiri hum kashmiri ye kashmir hamara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.