ye lagta hai ki tum aae
jab sāl-e-ravāñ dhuum machātā huā aa jaa.e
aañsū se munavvar yahāñ har gosha nazar aa.e
aamad pe na.e saal kī jab kahkashāñ bujh jaa.e
aise meñ har aahaT pe ye lagtā hai ki tum aa.e
sumbul kī lachaktī huī zulfoñ se kare chheḌ
jhoñkā koī āmāda sharārat pe nazar aa.e
yā bād-e-sabā phuul ke ruḳhsāroñ ko chhū jaa.e
aise meñ har aahaT pe ye lagtā hai ki tum aa.e
mahtāb kā chehra kisī chilman kī liye oT
raushan kabhī maddham kabhī jab khel meñ lag jaa.e
jab niilā gagan aartī tāroñ se sajā laa.e
aise meñ har aahaT pe ye lagtā hai ki tum aa.e
sāhil ke laboñ ko kabhī chhūne ke liye aa.e
chanchal sī koī lahr jo āġhosh meñ kho jaa.e
sāñsoñ kī harārat agar sāñsoñ meñ samā jaa.e
aise meñ har aahaT pe ye lagtā hai ki tum aa.e
jab chāñd kī jānib kare parvāz chakorī
yā koī papīhā pihū-pīhū kahīñ chillā.e
jab chāñdnī lahroñ pe kabhī diip jalā jaa.e
aise meñ har aahaT pe ye lagtā hai ki tum aa.e
tanhā.ī meñ yādeñ kabhī jab DhūñDhtī aa.eñ
vo shāmeñ jo ab palkeñ bhigotī huī jaa.eñ
bārāt ga.e lamhoñ kī jab raat meñ aa jaa.e
aise meñ har aahaT pe ye lagtā hai ki tum aa.e
jab sal-e-rawan dhum machata hua aa jae
aansu se munawwar yahan har gosha nazar aae
aamad pe nae sal ki jab kahkashan bujh jae
aise mein har aahaT pe ye lagta hai ki tum aae
sumbul ki lachakti hui zulfon se kare chheD
jhonka koi aamada shararat pe nazar aae
ya baad-e-saba phul ke ruKHsaron ko chhu jae
aise mein har aahaT pe ye lagta hai ki tum aae
mahtab ka chehra kisi chilman ki liye oT
raushan kabhi maddham kabhi jab khel mein lag jae
jab nila gagan aarti taron se saja lae
aise mein har aahaT pe ye lagta hai ki tum aae
sahil ke labon ko kabhi chhune ke liye aae
chanchal si koi lahr jo aaghosh mein kho jae
sanson ki hararat agar sanson mein sama jae
aise mein har aahaT pe ye lagta hai ki tum aae
jab chand ki jaanib kare parwaz chakori
ya koi papiha pihu-pihu kahin chillae
jab chandni lahron pe kabhi dip jala jae
aise mein har aahaT pe ye lagta hai ki tum aae
tanhai mein yaaden kabhi jab DhunDhti aaen
wo shamen jo ab palken bhigoti hui jaen
baraat gae lamhon ki jab raat mein aa jae
aise mein har aahaT pe ye lagta hai ki tum aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.