ye lamha lamha badalti sochen
har ek jazba hai muztarib kyoñ
na pyaar karne ko chāhtā dil
na nafratoñ kā ḳhayāl koī
ye kaisī purvā.ī chal rahī hai
ki lafzoñ meñ zang sā lagā hai
haiñ dhajjī dhajjī ḳhayāl saare
be-rabt jumle phaTe phaTe se
haiñ bijliyoñ ke ajiib tevar
jalā ke rakh deñgī ye nasheman
maiñ un ko apnā kahūñ bhī kaise
vo apne ho kar bhī ġhair se haiñ
haiñ khokhlī sī ye saarī bāteñ
bajeñ bhī gar to na sun sukūñ maiñ
sarāb ke pīchhe dauḌtī maiñ
pakaḌ na paa.ī huuñ gard-e-pā bhī
chhalāvā jaisā guzar gayā vo
bichhā.e baiThī rahī maiñ palkeñ
har ek jazba hai muztarib kyon
na pyar karne ko chahta dil
na nafraton ka KHayal koi
ye kaisi purwai chal rahi hai
ki lafzon mein zang sa laga hai
hain dhajji dhajji KHayal sare
be-rabt jumle phaTe phaTe se
hain bijliyon ke ajib tewar
jala ke rakh dengi ye nasheman
main un ko apna kahun bhi kaise
wo apne ho kar bhi ghair se hain
hain khokhli si ye sari baaten
bajen bhi gar to na sun sukun main
sarab ke pichhe dauDti main
pakaD na pai hun gard-e-pa bhi
chhalawa jaisa guzar gaya wo
bichhae baiThi rahi main palken
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.