ye meri mohabbat thi
tum ko dekhte rahnā
tum ko sochte rahnā
haañ ye merī fitrat thī
haañ ye merī 'ādat thī
tumheñ na bhuul paanā ho
be-vaqt ulajh jaanā ho
haañ ye merī fitrat thī
haañ ye merī 'ādat thī
ye pyaar kā junūn thā
dil kā ye sukūn thā
haañ ye merī fitrat thī
haañ ye merī 'ādat thī
ilzām vafā kā thā
panchāyatī faisla thā
ye un kī fitrat thī
ye un kī 'ādat thī
bas tumheñ chāhte rahnā
tumheñ hī māñgte rahnā
haañ ye merī mohabbat hai
haañ ye merī mohabbat hai
tum ko dekhte rahna
tum ko sochte rahna
han ye meri fitrat thi
han ye meri 'adat thi
tumhein na bhul pana ho
be-waqt ulajh jaana ho
han ye meri fitrat thi
han ye meri 'adat thi
ye pyar ka junun tha
dil ka ye sukun tha
han ye meri fitrat thi
han ye meri 'adat thi
ilzam wafa ka tha
panchayati faisla tha
ye un ki fitrat thi
ye un ki 'adat thi
bas tumhein chahte rahna
tumhein hi mangte rahna
han ye meri mohabbat hai
han ye meri mohabbat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.