ye mujh mein kaun hai
ye mujh meñ kaun hai
ki jab bhī gardish-e-lahū ne
mere jism kī harārateñ
har ik rag-e-hayāt meñ utaar diiñ
to us kī ḳhud-kalāmiyoñ ne
niiñd kī siyāh chādareñ sameT liiñ
samā.atoñ kī rahguzar meñ
us kī guftugū ke qāfile ruke
to dasht-e-zindagī pe
abr kā ġhilāf aa gayā
sukūt-e-zindagī meñ jaise inqalāb aa gayā
maiñ us se pūchhtā rahā
ki kab talak ye marg-o-zīst kī musībateñ
firāq-o-vasl kī sa.ūbateñ
mire vajūd par raheñgī ḳhema-zan
magar mire savāl par
yā merī arz-e-hāl par
nuzūl-e-harf-e-āgahī na ho sakā
vo mujh meñ asl zaat kī tarah rahā magar kabhī
ye munkashif na ho sakā
ki is ḳhiyām-e-zāt meñ mire sivā ye kaun hai
ik ajnabī sā āshnā
ye mujh meñ kaun hai
ye mujh mein kaun hai
ki jab bhi gardish-e-lahu ne
mere jism ki hararaten
har ek rag-e-hayat mein utar din
to us ki KHud-kalamiyon ne
nind ki siyah chadaren sameT lin
samaaton ki rahguzar mein
us ki guftugu ke qafile ruke
to dasht-e-zindagi pe
abr ka ghilaf aa gaya
sukut-e-zindagi mein jaise inqalab aa gaya
main us se puchhta raha
ki kab talak ye marg-o-zist ki musibaten
firaq-o-wasl ki saubaten
mere wajud par rahengi KHema-zan
magar mere sawal par
ya meri arz-e-haal par
nuzul-e-harf-e-agahi na ho saka
wo mujh mein asl zat ki tarah raha magar kabhi
ye munkashif na ho saka
ki is KHiyam-e-zat mein mere siwa ye kaun hai
ek ajnabi sa aashna
ye mujh mein kaun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.