ye sal achchha hai
barf aur bārūd ke burāde meñ
ThiThurtī sulagtī shab
tumhāre aane kī ḳhushbū
chahār samtoñ meñ
har ek ummīd kā āñgan
sadā.eñ detā hai
ḳhamīda ḳhvāb hamāre bhī sar uThā ke chaleñ
nigāheñ naaz kareñ
hurūf lab se jo nikleñ to deñ payām-e-masīh
hamārī samtoñ ko amn-o-amāñ mayassar ho
chamakte chāñd kā tesha fasīl-e-shab kaaTe
to jū-e-shīr aa.e
isī liye mire chāroñ taraf charāġhāñ hai
ki tum jo aao dabe paañv to kuchal Daalo
ye maslahat ke mahakte hazār-hā mausam
saḌak pe khelte bachchoñ ko thoḌā bahlāo
dhuup dikhlāo sard rātoñ ko
garm bārūd ko bhī pighlāo
payām-e-marg ke badle mile payām-e-hayāt
mujhe bhī ek barahman ne kahā hai ki ye saal achchhā hai
barf aur barud ke burade mein
ThiThurti sulagti shab
tumhaare aane ki KHushbu
chahaar samton mein
har ek ummid ka aangan
sadaen deta hai
KHamida KHwab hamare bhi sar uTha ke chalen
nigahen naz karen
huruf lab se jo niklen to den payam-e-masih
hamari samton ko amn-o-aman mayassar ho
chamakte chand ka tesha fasil-e-shab kaTe
to ju-e-shir aae
isi liye mere chaaron taraf charaghan hai
ki tum jo aao dabe panw to kuchal Dalo
ye maslahat ke mahakte hazar-ha mausam
saDak pe khelte bachchon ko thoDa bahlao
dhup dikhlao sard raaton ko
garm barud ko bhi pighlao
payam-e-marg ke badle mile payam-e-hayat
mujhe bhi ek barahman ne kaha hai ki ye sal achchha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.