ye sab to
merā koī naam nahīñ
na koī vatan
na maz.hab
na baap na maañ hai koī
yuuñ merā honā
bahutoñ ke nazdīk
mashkūk ho gayā
phir har taraf se thū thū hone lagī
māvarā se
ghasīTte phiro us kī laash
ek saath ka.ī āvāzeñ buland huiiñ
ka.ī muTThiyāñ khiñchīñ
lāThiyāñ chalīñ
talvāreñ sauntī ga.iiñ
bandūqeñ dāġhī ga.iiñ
par saarī talvāreñ
lāThiyāñ aur bandūqoñ kī goliyāñ
kuchh duur havā ko chiir kar
nīche aan girīñ
jis kā koī naam na ho
na vatan
na maz.hab
na koī vaalī vāris
use nishāne par laanā āsān bhī to nahīñ
ye sab kuchh to
har ek meñ chhupā huā hai
kuchh farz kar lenā
haqīqat meñ kuchh honā to nahīñ hai
haañ kisī kī maut farz kī jā saktī hai
kisī bhī lā-vāris qabr par
kisī bhī naam kā katba lagāyā jā saktā hai
sab harāmī bachche
ek ho jaa.eñ
muTThiyāñ bheñch leñ
lāThiyāñ taan leñ
talvāreñ saunt leñ
bandūqeñ uThā leñ
aur shust bhī bāñdh liiñ
to bhī un kā vaar ḳhālī hī jaatā hai
ḳhālī na bhī gayā
to bhī
halākat to ḳhud un kī honī hai
kyūñki
ye sab kuchh to
har ek meñ chhupā huā hai
mera koi nam nahin
na koi watan
na mazhab
na bap na man hai koi
yun mera hona
bahuton ke nazdik
mashkuk ho gaya
phir har taraf se thu thu hone lagi
mawara se
ghasiTte phiro us ki lash
ek sath kai aawazen buland huin
kai muTThiyan khinchin
laThiyan chalin
talwaren saunti gain
banduqen daghi gain
par sari talwaren
laThiyan aur banduqon ki goliyan
kuchh dur hawa ko chir kar
niche aan girin
jis ka koi nam na ho
na watan
na mazhab
na koi wali waris
use nishane par lana aasan bhi to nahin
ye sab kuchh to
har ek mein chhupa hua hai
kuchh farz kar lena
haqiqat mein kuchh hona to nahin hai
han kisi ki maut farz ki ja sakti hai
kisi bhi la-waris qabr par
kisi bhi nam ka katba lagaya ja sakta hai
sab harami bachche
ek ho jaen
muTThiyan bhench len
laThiyan tan len
talwaren saunt len
banduqen uTha len
aur shust bhi bandh lin
to bhi un ka war KHali hi jata hai
KHali na bhi gaya
to bhi
halakat to KHud un ki honi hai
kyunki
ye sab kuchh to
har ek mein chhupa hua hai
- Book : aaj (Pg. 341)
- Author : ajmal
- Publication : 316madiina maal ,abdullah haroon road sadar (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.