ye sajili murti
ai havā
phir se mujhe chhū kar qasam khā
sehn meñ kis ne qadam rakkhā thā
chupke se
yahāñ se kaun miTTī le gayā thā
vaqt kī thālī meñ
kis ne lā ke rakh dī
jhilmilātī lau ke aage
raqs kartī
ye sajīlī mūrtī
jis ke nuqūsh-e-jism
raushan ho rahe haiñ
veshiyā ke hoñT
farba paañv jaise ik girahstan ke
ḳhamīrī peT meñ
maḳhmal kī lahreñ
nuurī va naarī
subuk-andām lahroñ meñ
bhañvar ik gol sā
phir se mujhe chhū kar qasam khā
ai havā
tū jāntī hai
raaz saarā
do alag tarzoñ kī miTTī
ek bartan meñ milā kar
gūñdhne kaa!!
ai hawa
phir se mujhe chhu kar qasam kha
sehn mein kis ne qadam rakkha tha
chupke se
yahan se kaun miTTi le gaya tha
waqt ki thaali mein
kis ne la ke rakh di
jhilmilati lau ke aage
raqs karti
ye sajili murti
jis ke nuqush-e-jism
raushan ho rahe hain
weshiya ke honT
farba panw jaise ek girahstan ke
KHamiri peT mein
maKHmal ki lahren
nuri wa nari
subuk-andam lahron mein
bhanwar ek gol sa
phir se mujhe chhu kar qasam kha
ai hawa
tu jaanti hai
raaz sara
do alag tarzon ki miTTi
ek bartan mein mila kar
gundhne ka!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.