ye tamanna abas
use dekhne kī tamannā abas
vo kaisā lagegā
abhī dhundlī dhundlī lakīroñ ne chehra banāyā nahīñ
abhī us kī āvāz bhī resha resha hai
us ne guzartī huī sā.atoñ ko batāyā nahīñ
abhī barf kī tah ke nīche haiñ āñkhoñ kī jhīleñ
abhī jhiil kī machhliyāñ zard sūraj kī kirnoñ se mahrūm haiñ
magar kyā ḳhabar
vo azal se abad tak isī kaifiyat meñ rahe
yā mirī aañkh us kī badaltī huī rañgtoñ se shanāsā na ho
maiñ use kyuuñ adhūrā kahūñ
merī āñkheñ hī shāyad mukammal na ho
yahī sochte sochte mujh ko niiñd aa ga.ī
aur havā der tak mere kānoñ meñ kahtī rahī
dekh le dekh le
maiñ ne ghabrā ke āñkheñ uThā.īñ
vahāñ tīrgī ke sivā aur koī na thā
maiñ ne dil se kahā
raat kaafī paḌī hai abhī svar haiñ
svar haiñ
abhī niiñd kā pahlā jhoñkā bhī aayā na thā
phir havā ne kahā dekh le dekh le
ḳhāmushī rañg hai
tīrgī kī sadā sañg hai
bante bante hue roz-o-shab naqsh-e-pā se zyāda nahīñ
aur tū sochtā hai ki takmīl ho
chehre itne shanāsā hoñ to un ko pahchān le
ye tamannā abas
use dekhne ki tamanna abas
wo kaisa lagega
abhi dhundli dhundli lakiron ne chehra banaya nahin
abhi us ki aawaz bhi resha resha hai
us ne guzarti hui saaton ko bataya nahin
abhi barf ki tah ke niche hain aankhon ki jhilen
abhi jhil ki machhliyan zard suraj ki kirnon se mahrum hain
magar kya KHabar
wo azal se abad tak isi kaifiyat mein rahe
ya meri aankh us ki badalti hui rangton se shanasa na ho
main use kyun adhura kahun
meri aankhen hi shayad mukammal na ho
yahi sochte sochte mujh ko nind aa gai
aur hawa der tak mere kanon mein kahti rahi
dekh le dekh le
main ne ghabra ke aankhen uThain
wahan tirgi ke siwa aur koi na tha
main ne dil se kaha
raat kafi paDi hai abhi swar hain
swar hain
abhi nind ka pahla jhonka bhi aaya na tha
phir hawa ne kaha dekh le dekh le
KHamushi rang hai
tirgi ki sada sang hai
bante bante hue roz-o-shab naqsh-e-pa se zyaada nahin
aur tu sochta hai ki takmil ho
chehre itne shanasa hon to un ko pahchan le
ye tamanna abas
- Book : auraq salnama magazines (Pg. e-261 p-249)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahor (1967 )
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.