ye waqt kya hai
ye vaqt kyā hai
ki apne ma.amūl se gurezāñ har ek shai hai
har ek lamha
guzishta lamhāt kī nafī hai
ajiib vahm-o-yaqīn kā imtizāj
sochoñ meñ ghul gayā hai
jo ḳhvāb dekho to
zindagī par yaqīn aa.e
diye bujhā do to
raushnī par yaqīn aa.e
sarāb dariyā hai
aur reg-e-ravāñ samundar
badan pe zaḳhmoñ kā jaal hai
jugnuoñ se likkhī huī ibārat
yaqīn-e-vahm-o-gumān kī had
shikastagī imtihān kī had
ye vaqt kyā hai
ki apne ma.amūl se gurezāñ har ek shai hai
ye waqt kya hai
ki apne mamul se gurezan har ek shai hai
har ek lamha
guzishta lamhat ki nafi hai
ajib wahm-o-yaqin ka imtizaj
sochon mein ghul gaya hai
jo KHwab dekho to
zindagi par yaqin aae
diye bujha do to
raushni par yaqin aae
sarab dariya hai
aur reg-e-rawan samundar
badan pe zaKHmon ka jal hai
jugnuon se likkhi hui ibarat
yaqin-e-wahm-o-guman ki had
shikastagi imtihan ki had
ye waqt kya hai
ki apne mamul se gurezan har ek shai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.