yun bhi hota hai ki apne-ap aawaz dena paDti hai
duniyā be-sifatī kī aañkh se dekh
ye takvīn, zamān, zamīneñ,
mastī aur lagan kī liilā
ik bahlāvā hai
is bahlāve meñ ik dastāvez hai
jis kā avval āḳhir
phaTā huā hai
dūdhiyā raushan
shāh-rāhoñ par
kitne yug the
jin meñ ḳhāmoshī ke lambe lambe sakte haiñ
bārish aur maaTī kā zikr nahīñ
phir bhī ham ne
ma.anī aur imkān kī be-tartībī meñ
udhar udhar se
zinda rahne kā sāmān kiyā
ḳhvāboñ ke gadle paanī meñ machhlī dekh ke
harf banā.e
aur chiknī miTTī kī mūrat par
do āñkheñ rakkhīñ
ghaTtī baḌhtī duniyāoñ tak
mastī aur lagan kī liilā meñ
ab harf hamāre diloñ ko raushan rakhte haiñ
lekin jur.a jur.a
umroñ ke dālān meñ
apne-āp ko be-ḳhabarī se
bharnā paḌtā hai
niilī chhat
ThanDī rakhne ko
tan-man niilā karnā paḌtā hai!
duniya be-sifati ki aankh se dekh
ye takwin, zaman, zaminen,
masti aur lagan ki lila
ek bahlawa hai
is bahlawe mein ek dastawez hai
jis ka awwal aaKHir
phaTa hua hai
dudhiya raushan
shah-rahon par
kitne yug the
jin mein KHamoshi ke lambe lambe sakte hain
barish aur maTi ka zikr nahin
phir bhi hum ne
mani aur imkan ki be-tartibi mein
udhar udhar se
zinda rahne ka saman kiya
KHwabon ke gadle pani mein machhli dekh ke
harf banae
aur chikni miTTi ki murat par
do aankhen rakkhin
ghaTti baDhti duniyaon tak
masti aur lagan ki lila mein
ab harf hamare dilon ko raushan rakhte hain
lekin jura jura
umron ke dalan mein
apne-ap ko be-KHabari se
bharna paDta hai
nili chhat
ThanDi rakhne ko
tan-man nila karna paDta hai!
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 99)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.