zakir sahab
jab un kā zikr hamārī zabāñ pe aatā hai
to jaise dil meñ koī ik diyā jalātā hai
vo jin kā ilm kī duniyā meñ bol baalā hai
jahān-e-ilm meñ phailā huā ujālā hai
batā.eñ kyā tumheñ zākir husain kaise the
vo phuul ban ke hamāre chaman meñ rahte the
chaman udaas hai vo zīnat-e-chaman hai kahāñ
is anjuman meñ vo ab sadr-e-anjuman hai kahāñ
sunā.ī detī nahīñ ab vo pur-asar-taqrīr
nazar se ab huī ojhal vo azm kī tasvīr
hamesha rahtā thā insāniyat kā paas unheñ
na mushkilāt meñ hotā kabhī hirās unheñ
moallimoñ ko vo dete the daras mehr-o-vafā
vo chāhte the madrasoñ meñ ḳhush-gavār fazā
vo chāhte the phaleñ phūleñ naunihāl-e-chaman
na.e shagūfoñ se ho pur-bahār ab gulshan
jab un ka zikr hamari zaban pe aata hai
to jaise dil mein koi ek diya jalata hai
wo jin ka ilm ki duniya mein bol baala hai
jahan-e-ilm mein phaila hua ujala hai
bataen kya tumhein zakir husain kaise the
wo phul ban ke hamare chaman mein rahte the
chaman udas hai wo zinat-e-chaman hai kahan
is anjuman mein wo ab sadr-e-anjuman hai kahan
sunai deti nahin ab wo pur-asar-taqrir
nazar se ab hui ojhal wo azm ki taswir
hamesha rahta tha insaniyat ka pas unhen
na mushkilat mein hota kabhi hiras unhen
moallimon ko wo dete the daras mehr-o-wafa
wo chahte the madrason mein KHush-gawar faza
wo chahte the phalen phulen naunihaal-e-chaman
nae shagufon se ho pur-bahaar ab gulshan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.