zat ke rog mein
tab vo be-sāḳhta ro paḌe sīna-kūbī kare
jaane vaale kā mātam kare
bain karte phire
āḳhirī paat ke sog meñ
tilmilātī rahe
zaat ke rog meñ
phir vo rut aa.e jab
chiknī kā.ī-zada sī chaTTānoñ pe dekhūñ maiñ ḳhud ko
maiñ āñkhoñ ke paanī ko rokūñ magar paanī kaise ruke
tab maiñ chīḳhūñ bulā.ūñ use
gahre niile samundar kī tah meñ vo hogī kahīñ kaun jaane
magar vo bulāve ko sun kar samundar kī tah se ubhar kar
mire paas aa.e mujhe chhū ke dekhe
kahe tum kahāñ the
ḳhudārā batāo ki tum itnā arsa kahāñ the
mujhe ḳhud se lipTā.e mahkī huī god meñ le ke jhūlā jhulā.e
koī giit gaa.e jo sayyāl chāñdī kā chashma sā ban kar bahe
dhund ban kar uḌe
mujh ko sūraj kī gandī tamāzat se mahfūz kar de
kahe ab to jaane na dūñgī tumheñ
ab maiñ jaane na dūñgī tumheñ
aur maiñ
apne bojhal papoToñ ko mīche
kisī narm jhoñke ke qadmoñ kī aahaT sunūñ
tañg hote hue dūdhiyā bāzuoñ ke
mulā.em se halqe meñ sone lagūñ
kaash sone lagūñ
kaash maiñ so sakūñ
tab wo be-saKHta ro paDe sina-kubi kare
jaane wale ka matam kare
bain karte phire
aaKHiri pat ke sog mein
tilmilati rahe
zat ke rog mein
phir wo rut aae jab
chikni kai-zada si chaTTanon pe dekhun main KHud ko
main aankhon ke pani ko rokun magar pani kaise ruke
tab main chiKHun bulaun use
gahre nile samundar ki tah mein wo hogi kahin kaun jaane
magar wo bulawe ko sun kar samundar ki tah se ubhar kar
mere pas aae mujhe chhu ke dekhe
kahe tum kahan the
KHudara batao ki tum itna arsa kahan the
mujhe KHud se lipTae mahki hui god mein le ke jhula jhulae
koi git gae jo sayyal chandi ka chashma sa ban kar bahe
dhund ban kar uDe
mujh ko suraj ki gandi tamazat se mahfuz kar de
kahe ab to jaane na dungi tumhein
ab main jaane na dungi tumhein
aur main
apne bojhal papoTon ko miche
kisi narm jhonke ke qadmon ki aahaT sunun
tang hote hue dudhiya bazuon ke
mulaem se halqe mein sone lagun
kash sone lagun
kash main so sakun
- Book : Wazeer Aagha Ki Nazmen (Pg. 52)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.